Saturday 25 October 2014

Nabi ka ilm ghaib Quran ki Roshny me


Post-1

KNOWLEDGE OF UNSEEN OF PROPHET MOHAMMAD
(swallallahu alaiy wasallam) IN THE LIGHT OF HOLY QURAN

ﺍﻟﺤﻤﺪ ﻟﻠﻪ ﺭﺏ ﺍﻟﻌﺎﻟﻤﻴﻦ ﻭﺍﻟﺼﻼﺓ ﻭﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﻰﺳﻴﺪ ﺍﻷﻧﺒﻴﺎﺀ ﻭﺍﻟﻤﺮﺳﻠﻴﻦ ﺃﻣﺎ ﺑﻌﺪ ﻓﺎﻋﻮﺫ ﺑﺎﻟﻠﻪﻣﻦ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ ﺍﻟﺮﺟﻴﻢ ﺑﺴﻢ ﺍﻟﻠﻪ ﺍﻟﺮﺣﻤﻦ ﺍﻟﺮﺣﻴﻢ
.
Pyare islami bhaiyo assalamu alaiykum rahmatullah, wahi e ilahi ka nuzul ghaib hi hai, beshaq Allah ajh-wa-zal ny ambiya o mursaleen ko ulume ghaib ata kiya
.
ﺗِﻠْﻚَ ﻣِﻦْ ﺃَﻧﺒَﺎﺀِ ﺍﻟْﻐَﻴْﺐِ ﻧُﻮﺣِﻴﻬَا
ﺇِﻟَﻴْﻚَ ۖ ﻣَﺎ ﻛُﻨﺖَ ﺗَﻌْﻠَﻤُﻬَﺎ ﺃَﻧﺖَ ﻭَﻟَﺎ
ﻗَﻮْﻣُﻚَ ﻣِﻦ ﻗَﺒْﻞِ ﻫَـٰﺬَﺍ ۖ ﻓَﺎﺻْﺒِﺮْ ۖ ﺇِﻥَّ
ﺍﻟْﻌَﺎﻗِﺒَﺔَ ﻟِﻠْﻤُﺘَّﻘِﻴﻦ
"yeh ghaib ki khbar he ki hum tumhari taraf 'wahi ' karate he, inhe na tum janthe  the na tum hari koum is sy pehle to sabr kro beshaq bhla anjam parhejgaro ka" (AL hud verse-49)

ilm ghaib ka ma'ana he chupa hua ilm yani makhfi uloom is aayat se malum hua ki Allah ajhwazal ghaib ki baate Nabi swallallahu alaiy wasallam ko btata he our wahi e quran ilm ghaib hi he, our ye badmazhb gumrah munafiq kahte he ke Nabi swallallahu alaiy wasallam ghaib nhi jante the our Allah ajh-wa-zal farma raha hai ;- ye Ghaib ki baate Allah inhe btata he jo aapki koum na janthi thi ﺗِﻠْﻚ َ ﻣِﻦْ ﺃَﻧﺒَﺎﺀِ ﺍﻟْﻐَﻴْﺐِ ﻧُﻮﺣِﻴﻬَﺎ ﺇِﻟَﻴْﻚ Ambiya wa mursaleen ke ulume ghaib ka inkaar kufr he, Nabi swallallahu alaiy wasallam ke ilm ghaib ka inkar munafiqo ki alamaat he

ibne Abi shiba-wa-ibne Al -manzar wa ibne Abi hatim wa Abul-shaikh iman mujahid talmide khas sayyadna Abdullah bin Abbas Radiallahu Anha se riwayat farmate he

انه قال فی قوله تعلی ولن سالتھم لیقولن انما کنا خنوض وناعب قال رجل من المنافقينا يحد ﺛنا محمد صلی اللہ تعالی علیہ وسلم ان ناقاۃ فلان بوادی کذا ومايد ريه بالغيب
.
"yani kisi shaks ki uthani gum hogyee, uski talash thi, Rasul Allah swallallahu alaiy wasallam ny farmaya uthani fala jangal me fala jagah he us par ek munafiq bola Muhammad swallallahu alaiy wasallam batate he ke uthani fala jangal me he, Muhammad swallallahu alaiy wasallam gaib kia jaany"

is par Allah ajh-wa-zal ny ye aayate Kareema nazil ki.
ﻭَﻟَﺌِﻦ ﺳَﺄَﻟْﺘَﻬُﻢْ ﻟَﻴَﻘُﻮﻟُﻦَّ ﺇِﻧَّﻤَﺎ ﻛُﻨَّﺎ ﻧَﺨُﻮﺽُ ﻭَﻧَﻠْﻌَﺐُ ۚﻗُﻞْ ﺃَﺑِﺎﻟﻠَّـﻪِ ﻭَﺁﻳَﺎﺗِﻪِ ﻭَﺭَﺳُﻮﻟِﻪِ ﻛُﻨﺘُﻢْ ﺗَﺴْﺘَﻬْﺰِﺋُﻮﻥَ  ﻟَﺎ ﺗَﻌْﺘَﺬِﺭُﻭﺍ ﻗَﺪْ  ﻛَﻔَﺮْﺗُﻢ ﺑَﻌْﺪَ ﺇِﻳﻤَﺎﻧِﻜُﻢْ
.
"aur agar tum un se puhcho to beshaq jaroor kahenge k hum to yuhi hansi khel me the, tum farmado kia Allah our uski aayato our uske Rasul se thata karte the, bahane na bnau tum kafir hochuke iman k bad"
(surah touba verse no. 64,65)

[ Tafseer Imam bin jareer matba misar, jild 2 safa 105
Tafseer dare-mansur Imam jalaluddin suyuti jild 3 safa 254 ]
ۚ
musalmano ! dekho Muhammad swallallahu alaiy wasallam ki shan me ithani gusthaqi karny se k woh mazAllah ghaib kia jany, kalma goi kaam nhi aaee our Allah ajhwazal ny saaf farma dia ke bahany na banau , tum kafeer hogye baad iman ke. Rasulallah swallallahu alaiy wasallam ke ulume gaib se mutlaqan munkir he dekho ye qoul munafiq ka he our is ke kayal ko Allah ajh-wa-zal ny Quran was Rasul sy thata karny wala btaya our saaf saaf qafir o murtad thehraya.
1. malum hua ambiya o mursaleen k ulume gaib ka munkeer munafiq he our
2. Allah ny is munafiq ke qoul ye gaib kia jaany uske radd me kaha "Allah ki aayato our Rasul se thata (mazaq be adbi) karte ho" to pta chla ke wahi ilahi ka nuzul Rasulo pr ghaib hi  h our  goya ambiya k ilme ghaib ka inkar Allah ajhwazal Rasul our Quran se mazaq karna h mazAllah, our ye kaam munafiqo ke he
3. Nabi swallallahu alaiy wasallam ke ulume ghaib ka munqeer Nasse Quran se sabit he wo kafeer murtad hogya ﻗَﺪْ ﻛَﻔَﺮْﺗُﻢ ﺑَﻌْﺪَ ﺇِﻳﻤَﺎﻧِﻜُﻢ
4. our Jo Nabi ke ilm ka mazaq bnaye ghustaqi kare wo bi kafeer murtad he , imam Ahmed Raza rahmatullah alaiy ny devbandio k thanvi pr hukme kufr ka fatwa dia our uski takfeer ki wo Quran k muafiq he, thanvi ny pegambar e Islam tajdare madina imamul ambiya huzur Muhammad swallallahu alaiy wasallam ke ilm ko mazAllah janvaar pagal se tasbih di thanvi ka kufr ;- click this link https://m.facebook.comphoto.php?fbid=5&id=239812069454096&st=14&_rdr

beshaq gaib ki baate jaanni shane Nabuwat he,  Imam Ahle sunnat shaikh ul islam wal muslmeen sayyadi Alahazrat Imam Ahmed Raza alaiyrahma  ny tasreeh farmaee jis ki tafsil rasaeele-ilm gaib me ba fazal ta'ala mazkur he our jo bad aqidah gumrah devbandio k aqabirin jo gaib ki ek baat bhi khuda ke btaye se bhi Nabi ko malum hona muhal o namumkin btaye, in k nazdiq Allah se sab chinje gaiyb he our Allah ta'ala ko ithani qudrat nhi k kisi ko ek gaib ka ilm desake mazAllah....
Jese k devbandio ka rasheed gangohi kahta h Nabi ka ilm ghaib Allah ke bataye se bi manna shirq hai mazAllah.
Allah ajh-wa-zal Apni muqaddas kitab fi Al Quran qalallahu ta'ala ;-

ﺇِﻥَّﺍﻟﻠَّـﻪَ ﻋَﻠَﻰٰ ﻛُﻞِّ ﺷَﻲْﺀٍ ﻗَﺪِﻳﺮٌ
"Allah har chinj par qadir he"
(AL baqra-verse20)

beshaq Allah ajhwazal Jo chahe karsakta wo apne Nabi o Rasulo our swaleheen ko ikhtiyarat, kamalat, moujezat, karamat ilm o hikmat se bi Nawaz sakta he beshaq. Allah ajh-wa-zal ny Hazrat isa ibn maryam ko beshumar kamalat our mozezat ata kiye our ghaib ka bi ilm diya jo Kuch log khate our ghar zama karte biijniallah wo Allah ke hukm se jaan lete the our btate.

ﻭَﺭَﺳُﻮﻟًﺎ ﺇِﻟَﻰٰ ﺑَﻨِﻲ ﺇِﺳْﺮَﺍﺋِﻴﻞَ ﺃَﻧِّﻲ
ﻗَﺪْ ﺟِﺌْﺘُﻜُﻢ ﺑِﺂﻳَﺔٍ ﻣِّﻦ ﺭَّﺑِّﻜُﻢْ ۖ ﺃَﻧِّﻲ
ﺃَﺧْﻠُﻖُ ﻟَﻜُﻢ ﻣِّﻦَ ﺍﻟﻄِّﻴﻦِ ﻛَﻬَﻴْﺌَﺔِ ﺍﻟﻄَّﻴْﺮِ ﻓَﺄَﻧﻔُﺦُ ﻓِﻴﻪِ ﻓَﻴَﻜُﻮﻥُ ﻃَﻴْﺮًﺍ ﺑِﺈِﺫْﻥِ ﺍﻟﻠَّـﻪِ ﻭَﺃُﺑْﺮِﺉُ ﺍﻟْﺄَﻛْﻤَﻪَ ﻭَﺍﻟْﺄَﺑْﺮَﺹَ ﻭَﺃُﺣْﻴِﻲﺍﻟْﻤَﻮْﺗَﻰٰ ﺑِﺈِﺫْﻥِ ﺍﻟﻠَّـﻪِ ۖ ﻭَﺃُﻧَﺒِّﺌُﻜُﻢ ﺑِﻤَﺎ ﺗَﺄْﻛُﻠُﻮﻥَ ﻭَﻣَﺎ ﺗَﺪَّﺧِﺮُﻭﻥَ ﻓِﻲ ﺑُﻴُﻮﺗِﻜُﻢْ ۚ ﺇِﻥَّ ﻓِﻲ ﺫَٰﻟِﻚَ ﻟَﺂﻳَﺔً ﻟَّﻜُﻢْ ﺇِﻥ ﻛُﻨﺘُﻢ ﻣُّﺆْﻣِﻨِﻴﻦ
.
"our Rasul hoga bani Israel ki traf yeh farmata hue ki me tumhare pass ek nishani laya hu tumhare rab ki taraf se ki me tumhare liye mitti se parinde ki Surat bnata hu our fir usme fuq marta hu to foran hojati h Allah ke hukm se  our me shifa deta hun madarzad andhe our safed dag wale ko our me murda jilata hu Allah ke hukm se our me btata hu Jo tum khate our apne ghar zama kar rakhte, beshaq in baato me tumhare liye nishani he agar tum iman rakhte ho"
(AL imran verse-49)

ambiya o mursaleen , Nabi swallallahu alaiy wasallam ko Allah ajh-wa-zal ny beshaq
ghaib ka ilm dia he lekin Imam Ahle sunnat shaikh ul islam wal muslmeen sayyadi Alahazrat Imam Ahmed Raza  alaiyrahmat o ridwan farmate aalimul ghaib sirf ALLAH ajh-wa-zal he jiska ilm jaati (qul) he our hamesha se he our hamesha rahega our Rasulo our humary pyare Nabi swallallahu alaiy wasallam ka ilm ghaib ataee (baz) he jitna ALLAH ajh-wa-zal ny dia uthna hi he , our hamesha se bi nhi.
Quran me ilm ghaib k muttaliq
2 trah ki aayate he ek fi zaat
Allah k liye makhsus h our dusree ataee he, munafiq (wahabi devbandi, salfi) zaati aayate manthi h lekin ataee nhi our zaati aaayat ko bunyad bnakar Nabi swallallahu alaiy wasallam ki shaan me be adbi our ghustaqi karte our bhole bhale sada loh musalmaan ko gumrah kar k musalmaano ke dilo se tazeeme Nabi our Nabi ki mohabbat nikalny ki napak
koshis krti he mazAllah...

Quran ki Roshny me Allah k Nabi swallallahu alaiy wasallam ka ilm ghaib

ﻭَﻣَﺎ ﻫُﻮَ ﻋَﻠَﻰﺍﻟْﻐَﻴْﺐِ ﺑِﻀَﻨِﻴﻦ
"Aur yeh Nabi ghaib batane me
bakhil nahi"
(Surah Takavir verse no.24)
aayat me ALLAH farmate he Nabi e kareem ghaib btany me bakhil nhi yani aap kanzusi nhi karte Jo aap pr ghaib ka nuzul hota he chahe wahi ho ya ilham aap ALLAH ki taraf she btate he

ﻋﺎﻟِﻢُ ﺍﻟْﻐَﻴْﺐِ ﻓَﻼ ﻳُﻈْﻬِﺮُ ﻋَﻠﻰ ﻏَﻴْﺒِﻪِ
ﺃَﺣَﺪﺍً * ﺇِﻻّ ﻣَﻦِ ﺍﺭْﺗَﻀﻰ ﻣِﻦْ ﺭَﺳُﻮﻝ
"Aalim-ul-Ghaib sirf Allah ki
zaat hai, aur wo apna Ghaib
ka ilm kisi par bhi zaahir nahi
karta, siwaye apne un
Rasoolo ko jinhe wo chahta
hai."
(surah jinn verse no.26,27)

ﻭَﻣَﺎ ﻛَﺎﻥَ ﺍﻟﻠَّـﻪُﻟِﻴُﻄْﻠِﻌَﻜُﻢْ ﻋَﻠَﻰ ﺍﻟْﻐَﻴْﺐِﻭَﻟَـٰﻜِﻦَّ ﺍﻟﻠَّـﻪَﻳَﺠْﺘَﺒِﻲ ﻣِﻦ ﺭُّﺳُﻠِﻪِ ﻣَﻦﻳَﺸَﺎﺀُ ۖ ﻓَﺂﻣِﻨُﻮﺍﺑِﺎﻟﻠَّـﻪِ ﻭَﺭُﺳُﻠِﻪِ ۚ ﻭَﺇِﻥﺗُﺆْﻣِﻨُﻮﺍ ﻭَﺗَﺘَّﻘُﻮﺍﻓَﻠَﻜُﻢْ ﺃَﺟْﺮٌ ﻋَﻈِﻴﻢ
"our Allah ki shan yeh Nahi k e Aam logo tumhe Ghaib ka ilm de de, Haa, Allah Chun leta hey apne Rasulo se Jise chahe to iman lau Allah our uske Rasulo par our agar iman lau our parhezgari kro to tumhare liye bra swab hai”
(Surah Imran verse no.179).