Thursday 11 December 2014

Biddat ka Sharaee Mafhum (Roman Urdu)

Index
1. Biddat ka lughvi Mana (dictionary Meaning)
2. Biddat Ki Haqeekat (Reality of innovation)
3. Har Biddat buri nahi (every innovation is not pervers)
4. Biddat Hadees ki Roshny me (innovation in light of Hadees)
5. Biddat ka Sharaee Mafhum o Mana (Sharaee Imply of innovation)
6. Biddat ki Aqsaam (type of innovation)

Sab tareef Allah hi ke liye our darood o salam Nazil ho mery pyare Aqa swallallahu alaiy wasallam Par, Allah tabarak wa ta'ala se dua hai hame Haq kahne Haq likhny our Haq sunne our uspar amal karny ki toufik ata farma our tere Haq wale bando se wabasta rakh jinpar tera in'aam hai our hame Ahle Sunnat jamat Maslak e Alahazrat par mazbuti se karband farma Ameen.

.
.
.

Biddat ka Sharaee Mafhum (Roman urdu )
By ; Muhammed Naeem Razvi

.
.
.

.....pesh lafz.....

Badmazhab jis Hadees ki nafi karte he kisi bi Hadees me kahi par bi ye nahi he Aaqa swallallahu alaiy wasallam ny ye farmaya Din me ya dunyawi me naya tareeqa ejad karna Biddat he ya Sahaba tabe'een tabetabaeen ke zamany ke baad koi naya amal ejad karna Biddat he balqe Aap swallallahu alaiy wasallam ny farmaya.
قل بدعة ضلالة و قل ضلالة فی النار
"Har Biddat Gumrah he our Gumrahi aag me lejany wali he"
(Sunan An Nisaee)

Biddat dalalat se konsi Biddat Murad Quran o Hadees Aqwal  Mohaddisin, Aima e kiram mouzood he our Bid'at dalala se wo Biddat murad he Jo Shariat ke khilaf , fitna fasad our Sunnat ke khilaf koi naya amal ejad karna Biddat he, acha tareeqa ejad karna biddat nhi he. me sirf mukhtasar Biddat ka Sharaee Mafhoom o Ma'ani ko Sahih Hadees se wazeh tour par Sabit krunga ke hargeez din me acha tareeqa raeez karna Biddat nhi he balqe Swab he. Our Musalmaan ko Biddati kahna goya jhahannami kahana he q ki Biddati jhahannami he our kisi Musalman ko bina Samjhe Jhahannami kahna goya uske  khud jhahannam me kudny ke Barabar he , Halanke ye sab virus alamate khwareez Najdiat ki he Jese kuffar par Nazil hui aayato ko musalman par chaspa karna, Ahl quboor ki jiyarat sunnat our Ahl Allah se Sabit he Jo usy qabarprasti ya Mushreeqin kahe wo kon he Aap khwareezo ke halat our unki zindagi ke muttaliq padhenge to Apko Moujuda dour ke wahabi Najdi our is fitne se talluq rakhny wali tanzeeme, jamate, firqo ki Apke samny tasweer ubhar aayegi , khawareezo ke bare me Sahih Hadeese Bi Kafi mouzud he, Shirk biddat shirk biddat ye Sabse pahle Najdio ka hi wazifa tha iske baad ye Najd me Muntaqeel hua jiski pesheengoi hamary huzur ny di thi, our yahi fitna pure jahan me wahabi aqaeed nazariyat ke Manne Wali tanzeeme , jamato , firqo me muntaqeel horaha he our Allah ke Nabi swallallahu alaiy wasallam ny jo farmaya wazeh hua Najd fitna our jaljale ki jagah jaha se shaiytaan ki Singh tuloo hogi jiska fitna suraz ki kirno ki trah sare jahan me phail jayega. Khawareez ki Ek Nishani Apko me btana chahta hu sahih bukhari wa Muslim ki Hadees he "Hazrat Abdullah ibn umar radiAllahu anhu sabse jayda Allah ki makhluq me usy Sareer wa badtareen samajhte Jo Quran me kuffar par Nazil hui aayat ka itlaq momino par chaspa karte"
{Sahih al-bukhari kitab isttabat al martadin wa alma'andin,
bab: qatal al khwariz 6/2539}

{Sahih al-muslim
Kitab al  jakat
Bab: al khwariz shar al khalq 2/750}

( Biddat ka Sharaee mafhum our uski haqeeqat Konsi Biddat buri he our konsi biddat hasna he aaye Sahih hadees ki Roshny me samajhe. )

BIDDAT KA LUGHVI MANA ;
Biddat ka lughvi Mana (dictionary meaning) he Naya "New thing" ya Naya ejad karna lekin Shariat me Biddat ka sirf lughvi hi mana nhi balqe Sharaee Mana bi liya jayega, Maslan Quran me lafz Swalat aaya he jiska lughvi Mana he Dua kuch gumrah log is Lughvi Mana ko lekar kahte he Aqeemus swalat ka matlab dua padho yaha dua padhny ka hukm he Namaz ka kaha he?  esy log gumrah hai Jo sirf lughvi Mana ko dekhte he Sharaee nhi our ham swalat ka ye Mana lete aaye jisy Nabi swallallahu alaiy wasallam ny hame taleem farmaya Namaz ka tareeka isy trah Zakat ka Lughvi Mana he Pak karna lekin yaha bi ham Sharaee Mafhum mante he Naki sirf lughvi our Quran me lafz Hajj aaaya he jiska lughvi Mana he Irada lekin Shariat ki istala me Hajj ba qayda tamam Rukn ada karny ko kahte Naki sirf Lughvi Mana ko

BIDDAT KI HAQEEQAT
isi tarah Biddat ka Lughvi Mana to Naya he lekin ham Biddat ka Sharaee Mafhum Manenge Jo sahaba or Aima e mujtahidin ny Mana our uspar unka amal tha lekin kuch gumrah log iske lughvi Mana ko lekar fasad karte he our Ek hi Hadees ko Bunyaad Banakar 'Qulla biddat dalalat' Har biddat gumrah he wo Biddat ka mafhum ye lete he Har Naya Kaam Ejad karna Biddat he ye galat he our inke khud ke bi khilaf he Nabi Swallallahu Alaiy Wasallam Ke zaheeri Zamany me our Sahaba e Kiram our Tabe'eeen Tabetaba'een e Kiram ke dour me Hazaro Mulk fatah hue jinki Madri Jaban Arabi nhi thi, lekin unke dour me Quran mazeed ka tarjuma (translation) nhi kia gya Quran e Mazeed Tarjuma hamary zamany me ab horaha hai to kia ye Biddat hogaee ? Nabi swallallahu alaiy wasallam ke Zhaheeri Zamany ke Bad Quran me jhabar , jher , pesh lagaye Quran ko kitab ki shakal me mahfooz kia mouzuda dour me mukhtalif printing horahi hai , Masjido me Minara ye Sahaba our Tabe'eeen ke dour me nhi thi Traweeh ki Ba jamat Namaz , Juma ke Din 3 Azan, esy hazaro kaam he Jo Nabi swallallahu alaiy wasallam ke zaheeri zamany me nhi baad me hue jispar sab amal karrahe lekin Ibne Abdul Wahab Najdi jisny Ummat me Inteshar our fitna barpa kia jisny Tazeem E Nabi swallallahu alaiy wasallam ko Musalman ke dil mese khatam karny ke liye Shirk or Biddat ka sahara liya our is badbakht ke andhe muqallid fi zamane me bi mouzud he jo baat baat par biddat o shirk k Ilzaam Musalmaan par chaspe karte he halanke ye khud din me naye naye tareeke our kufriya aqaeed banate lekin inko sirf biddat tazeeem e Nabi swallallahu alaiy wasallam mehi dikhti hai.

HAR BIDDAT GUMRAH NAHI ;
Alhamdulillah hamary Aima e mujtahidin our mere Aqa e Nemat Imam Ahle Sunnat ny har Mas'ala ko sirf ek hi hadees se nhi balqe tamam hadees ko jama kar ke fir usmy se mas'ala our Aqaeeda bnaya he Maslan har mujtahidin jab wo Quran o hadis se kisi aayat ya hadees se Mas'ala Nikale to sirf Ek hi Hadees kafi nhi Balqe uske muttaliq Tamam Hadees ko Jama karna padhega Maslan Mafhum e Hadees ek Sahabi Bargah Rasool Swallallahu alaiy Wasallam me hazir hue unhony kaha Ya RasulAllah mujhe kuch Nasihat Farmaye Aap Swallallahu alaiy Wasallam ny farmaya Gussa mat kar , fir wo Sahabi ny kahan ya Rasool Allah our Nasihat farmaye Aap ny dusri baar bi yahi darmaya Gussa mat kar Fir wo Sahabi e Rasool ny kaha our mazeed Nasihat farmaye huzur Tisree bar bi Aap ny yahi farmaya Gussa mat kar (Sub'hanAllah) lekin koi sirf yahi ek hadees ko lekar bunyad bana kar Mas'ala ye Nikale ke Gussa karna haram he kesa bi ho chahe jayaz ho ya na jayaz to wo yaqeenan galat hoga q ki yaha gusse se murad Apni zaat k muttaliq na jayaz gussa ki mumaniat he our Imani Gussa gerat ka Gussa jayaz he Maslan koi Allah ajhwazal Rasool swallallahu alaiy wasallam ki Shan me ghustaqi kare to hame yaqeenan gussa aayega our ham usy Nafrat krenge , kisi ka ladka Namaz nhi padhta , ourat parda nhi kartee to shohar par farz he uspar shakti kre to yaha yaqeenan gussa aayega hi our Jo ourat ko be pardagi se nhi roke uspar shakti nhi kre to usy dayyus kahan gya he Hadees me our khawareezo ny Jo Ameer ul Momeenin Hazrat Ali RadiAllahu anh par Jo shirk ka ilzam lagaya tha MazAllah is aayat ki Nafi se "Faisla Allah hi karny wala he" ye aayat ko bunyad bnakar Hazrat Ali ke Faisle ko Radd kiya halanke Allah ajhwazal khud Quran Mazeed me Insaaf ke Muttaliq Faisla karny ka hukm dia gya he lekin Allah jise gumrah kre usy koi hidayat Nahi desakta ,  Isi trah biddat ka sharaee Mas'ala Nikal ne ke liye Tamam biddat ke muttaliq hadees jama karny padhegi fir Aap ko Wazeh tour par Maloom hojayega Biddat ka sharaee Mafhum our Kon si Bid'at buri he our har Biddat gumrah he ya Nahi??

HADEES KI ROSHNY ME ;
"Jab Hazrat Sayyadna  Umar Farooq E Azam radiAllahu anh ka Dour e khilafat aaya our Aap ny Sahaba e karam Ko Ba Jamat Namaz-E-Tarawih Padte dekha To isy Bohat pasand Kia hata ke Hazrat Umar Farooq E Azam radiAllahu anh Ne Ek Int'haee Rehnuma Asool hame Ata kia our Farmaya نعم البدعۃ ھازه Yani ye kitni achi Biddat hai"
(SAHIH AL-BUKHARI
KITAB SALAT AL-TARAWIH
BAB; FAZAL MAN KAM RAMZAN
VOLUME 2 PAGE 705
HADEES NO. 1904)

Ab Qabile gour Baat ye he ke wo Amal Jise Rasool Allah swallallahu alaiy wasallam Ne Apni Zaheeri hayat e tayba me Na kia us ke bare me Sayyadna Umar RadiAllahu anh Farma Rahe he ke ye Kitni achi Biddat he| Sahih al-Bukhari ki is Hades ka yah Qoul نعم البدعۃ ھازه Sayyadna umar ibn al-khatab radiAllahu anh ka isse Malooom hua ke Har Biddat Buri Nahi hoti kyunke Sayyadna Farooq E Azam RadiAllahu anh Ne Pyare Huzoor Muhammad RasoolAllah Swallallahu alaiy  wasallam ki ye Pyari our Sahih wa Mustanad Hadees sun Rakhi thi

"Jis Shaks Ne Islam me Koi Nek Tareeqa Jaari kiya to is ko is Nek kaam ka Swab Milega our Jin Logo Ne is Ache Tareeqe par Amal kiya in Logo ka Swab bhi us Nek Kam Jaari karny wale ko Milega our Amal karny Walo ke Swab Mebi Kami Nahi Hogi"
(SAHIH AL-MUSLIM
VOLUME 2 PAGE 702
PUBLISHED ; DAR AHYA'A AL-TARAS AL-ARABI BERUT)

Is Hadees se Maloom hua har din me naya tareeqa ejad karna Biddat e dalala nhi he balqe jayaz he our achi niyat se karna sawab he

"Jang e yamam me hazaro Sahaba Jo Quran ko janny wale Shaheed hogye to quran ko ek kitab ki shakal me mehfooz kerny ka Hazrat Abu Bakr RadiAllahu anh ke dour main faisla hua tou yeh tajweez Hazrat Umer RadiAllahu anh ney di thi, is per khalifa-e-awl Hazrat Sayyadna Abu Bakr siddiq our Sahaba ney fermaya ke aisa kaam kyu kia jai jo AAQA ney apny dour main nahi kia, Hazrat Umer RadiAllahu anh Ne jawab dia k kaam tou Naya hai laikin acha hai" (yaani hai tou Bidat laikin hasana hai)
( SAHIH AL-BUKHARI
KITAB  FADAEEL AL QURAN
BAB ; JAMA AL QURAN
HADEES NO. 4986 )

Qoul e RasulAllah swallallahu alaiy wasallam our sahaba ke nazdeeq Biddat Sunnat ko mita deti he , Biddat fitna fasad ke liye ejaad karna ispar bohat si hadeese he lekin me sirf 3 hi hadees par iqtifa'a karta hu

BIDDAT KA SHARAEE MAHFOOM O MANA ;
Mohtaram pyare islami bhaiyo aapko wazeh tour par maloom hua hoga Qulla biddat dalala se sirf buri hi biddat murad he Jo din me fasad ke liye ya Sunnat ke khilaf ejaad ki gaee ho , acha tareeqa achi biddat ka saboot Quran o Hadees me Mouzud he Biddat ka sharaee Mafhoom Jo Sahaba Aima our Aulama e Haqqa Ahle Sunnat wa jamat ke Nazdeeq ye he "har wo kaam jo din me (Sunnat ke khilaf , fitna fasad ke liye ejad ki gaee ho wo biddat dalala) biddat he" our har ache tareeqe ko Din me Ejad karna ye Allah ajhwazal ke Rasool swallallahu alaiy wasallam ki Hadees he jis par amal karny walon ko Swab milega (sahih Muslim)

BIDDAT KI AQSAAM ;
Shariat me Biddat ki 2 aqsaam he

1.Biddate Hasna (Jayaz)
2.Biddate Dalala (Najayaz)

1.Biddat e Hasna :-
Biddat hasna wo biddat he jisko karne wale ko sawab milta he, gunah Nahi jese ki din ki talim hasil karne madarso me jana, Masjido me pankhe, ghadiya, kular, geejar marbal, pani ke nal, wagera lagana, hadiso ko kitab ki shakal me jama karna, Quran me jabar, jher, pesh or aayato par number lagana, Ramdan me Elaniya taravih ki pabandi karna, Eid miladunnabi sallallahu alaiy wasallam ka julus nikalna, jakat ya sadqa me moujuda jamane ka sikka, not, dolar, dinar etc dena , Esal e Swab ke ke liye makhsoos din muqarrar karna jese 11vi 12vi shareef etc..
ye wo kam he jo Nabi k jhahiri jamane me nhi hue lekin is kam ko karna jayaj he Biddat Hasna Quran o Hadees se sabit he

3.Biddat dalala
Biddat Dalala wo kam he jo Nabi alaiysalam ne or us jamane me kis sahaba ne na kiye or aj wo kam karna haram he .. Ger arabi jaban me kutba padhna yahud nasara ki naqal karna Nabi ki shaan ghatana Sunnat ko Mitany ya uske khilaf Naya kam ejad karna , fitna o fasad ke liye kia gya naya kaam ko biddat dalala kahte he our Biddat Dalala ki sabse buri Biddat Bad aqaeede ki he , Nabi swallallahu alaiy wasallam our Sahaba ke dour me our Tabe'een bujurgan e din our Ahle sunnat waljamat ke Mehfil jalsho me Nare Taqbeer our Nare Risalat ki sada buland hoti our Allah ki tasbeeh Sub'hanAllah bayan ki jaati iske bar aqs khilaf kuffaro ki Naqal taliya bajaye ye yaqeenan Biddat hui, Masjeedo , Madarso ke ikhtitaam par Mehfil e Hamd Naat mun'aqid karny our shukrany ki Namaz ke bajaye yahud o Nasara ki trah Ribbin katna ye Biddat he etc etc ,,,, ye sab kaam fitna fasad Sunnat ke Khilaf ejaad karna Biddat e Dalala he Jo Ahle hadith our devbandi Molvi bade shouk se karte he


1 comment: