Thursday 27 November 2014

Jhashn E Eid Milad un Nabi swallallahu alaiy wasallam

Jhashn e Eid Miladunnabi swallahu alaiy wasallam
Quran o Hadees ki Roshny me

Qalallahu ta'ala fi Al Quran Mazeed Furqan Hameed

“Tum Farmao ALLAH hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehmat Aur Usi Par Chahiye Ke Khushiya Kare (Surah Yunus Ayat 58)

✅Is Ayat Me Allah ajhwazal Ne Apne Fazal Aur Apni Rahmat Par Khushiya Manane Ka Hukum Diya hai

Pyare Islami bhaiyo Ham Quran me padhte he Allah ajhwazal ka khas Fazal our uski khas Rahmat kiya hai, our Allah Ka Sabse Bada  Ahsan our Sabse Badi Nemat Momino par kiya hai taqi ham uspar Khushiya Manaye ba hukm ta'ala

Qalallahu ta'ala fi Al Quran Mazeed Furqan Hameed

"Sikha dia hamny tumhe Our Allah ka tum par Bara fazal Hai" (Surah An-Nisa 113)

✅Is aayat me Allah ajhwazal ny Apne pyare Nabi Hazrat Muhammad swallallahu alaiy wasallam par Fazal hi nhi balqi "fadalillahi alaiyka Ajheem" bohat bada (Ajheem) fazal kaha he

Qalallahu ta'ala fi Al Quran Mazeed Furqan Hameed

"Or Humne Tumhe Na Bheja Magr Rahmat Sare Jahan K Liye" (Surah Ambiya Ayat 107)

✅Is Ayat Me Allah Apne Pyare Nabi swallallahu alaiy Wasallam Se Farma Raha Hai K Humne Tumhe Sirf 1 Ya 2 Aalam K Liye Nahi Balki Sare Aalam K Liye Rahamat Bana Kar Bheja Yaha Gour Kare Allah Ne Nabi Salllaho alaiy Wasallam Ko Rahmat Kaha hai Aur Jo Paheli Ayat Pesh Ki Gai Hai Usme Allah Ne Apni Rahmat Par Khushi karne Ka Hukum Diya Hai Jo In Ayato Ka Munkir Honga wo Nabi Sallallaho alaiy Wasallam Ko Apne Liye Allah Ki Rahamat Aur Nemat Nahi Samajta Wo Nabi E Pak Sallallaho alaiy Wasallam Ki Wiladat Ki Khushi Se Aitaraz Karega.

Qalallahu ta'ala fi Al Quran Mazeed Furqan Hameed

“Apne Rab Ki Nemato Ka Khoob Khoob Charcha Karo”
(Surah Duha Ayat 11)

✅Is Ayat Me Allah ajhwazal Ne Hume Apni Nemato Ka Charcha karne Ka Hukum Diya. Har Momin Ye Janta Hai Ki Allah ajhwazal Ki Subse Badi Aur Azeem Nemat Hamare Liye Uske Rasool Swallaho alaiy Wasallam Hai Is Baat Ko Samjhane K Liye Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu

Qalallahu ta'ala fi Al Quran Mazeed Furqan Hameed

“beshaq Allah ny ehshan kia Momino per, ki jab unme apne Rasool swallallahu alaiy Wa sallam ko bheja”
(Sureh Al-Imran, Ayat 164)

Mere Pyare Islami Bhaiyo Aap Sara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi Jagah Allah Azzawajal Ne Ye Nahi Kaha K Humne Tumhe Ye Nemat Dekar Tumpar Ahsan Kiya hai maslan hajj, ramzan, namaz, lekin Apne Maheboob Nabi Swalllaho alaiy Wasallam K liye kaha laqad beshaq "manallah alaiy al mominin ba'asa fihim rasullammin anfusihim" Isse Malum Hua K Allah Ki Subse Badi Nemat Hamare Liye Uske Nabi Swallallahu alaiy  Wasallam Hai. Our ye duniya or usmy Jo kuch Nemat he Baghat, Samandar, fal, kheti, pahar, chopaye, Allah ny sabko qaleel kaha hai ye duniya our jo kuch isme he sab qaleel hai, lekin Sayyadul mursaleen Imam ul ambiya Muhammad Rasul Allah swallallahu alaiy wasallam ko farmaya "wakana fadalillahi alaiyka Azheem" Aur Allah ka tumpar bara fazal hai" (Al Quran 4/13)

12 Rabi Ul Awwal

12 Rabi Ul Awwal Par Tamam Ulama E Islam Ka Ijma Hai K Is Din Muhammad Swalllaho alaiy Wasallam Sare Alam K liye Rahamat Bankar Duniya Me Tashreef Laye Aur Isi Din Sari Duniya Me Musalman Apne
Nabi Ki Wiladat Ka Jashan Karte Hai

Refrance:

1. Ibn-e-Ishaq ( 85- 151 H ): [Ibn Jawzi in al-Wafa, Page 87]

2 Allama Ibn Hisham ( 213 H ): [Ibn Hisham in As-Sirat-un-Nabawiya, Vol. 1, Page 158]

3. Imam Ibn Jarir Tabari
( 224- 310 H ): [Tarikh al-Umam wa al-Muluk, Vol. 2, Page 125]

4. Allama Abu al-Hasan Ali bin Muhammad Al-Mawardi ( 370- 480 H ): [Ailam-un-
Nabuwwa, Page 192]

5. Imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al-Undalasi ( 671- 734 H ): [Aayun al-Asr, Vol. 1, Page 33]

6. Allama Ibn Khaldun ( 732- 808 H ): [Ibn Khaldun in At-Tarikh Vol. 2, Page 394]

7. Muhammad As-Sadiq Ibrahim Arjoon: [Muhammad Rasoolullah, Vol. 1, Page
102]

8. Shaykh Abdul-Haq Muhadath Dehlvi ( 950- 1052 H ): [Madarij-un-Nabuwwah, Vol. 2, Page 14]

9. Imam Qustallani (Alaihir RaHma) [Al Muwahib
al Laduniya, Vol. 1, Page 88]

       

Milad Kis Kis Ne Manaya?

Huzoor Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi Me Milaad Huyi Isme Khud Huzoor swallallahu alaiy Wasallam Ne Apni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye.
(Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)

Hazrat Abu Qatada RadiAllah Anhu Se Riwayat Hai Rasool-E-Karim swallallahu alaiy Wasallam Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap Swallallahu alaiy Wasallam Ne Farmaya K Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua"

(Sahih muslim Jild
2 hadith no 819 .page 1162)
(nasai al sunane kubra Jild 2 hadith 146 page 2777)

"Jab Abu lahab mar gya to uske baj gharwalo mese usy khawab me bure hal me dekha| puhcha kya gujri? Bola tum se juda ho kar mujhe khair nasib na hui| haa mujhe is kalime ki ungali se pani milta he kyunki isy (is ke ishare se) mene suweba londi ko aajad kia jab usny mujhe apny bhatije (Muhammad) swallallahu alaiy wasallam ki paidaees ki khush khabri sunaee thi"
(Sahih Al bukhari
Kitab An-nikah
Vo: 1 page: 153)

✅is riwayat ke tahat Hazrat Sayyiduna Shaikh Abdul haq
muhaddise dehalvi alaiyrahma farmate he:

Suweba loundi ne Abu lahab ko Apne bhatije Hazrat Mohammad swallallahu alaiy wasallam ki wiladat paidaees ki khabar di Abu lahab ne khbar pa kar khush hua or khus hokar kalme ki ungali se apni loundi suweba ko aazad kardia. is wakiye me milad sharif Manany walo k liye badi dalil h jo Tajdare risalat sallallahu alaiy wasallam ki Shab E Wiladat me khushiya manate or maal kharch karte he| (Madarizun Nabuwwat, jild 2, safa, 23)

✅Jab ek kafir Abu lahab Nabi samaj kar nhi balki apna bhanja samaj kar khusiya manaye to Abu lahab ki ungali Jhahannam me nhi jale to jo Ashiq e Rasul pure badan se Eid Milad un Nabi sallallahu alaiy wasallam ki wiladat par khushiya manaye, jhande lagaye, us musalman ko kese jhahannam ki aag chuh sakti?

Nabi swallallahu alaiy wasallam Ne Apne Milad Par ' ALLAH ' Ka Shukra Bajaa Lane Ki Talkin Farmayi Aur Targeeb Di....!!
Iski Tafseel Yaha Check Kare Hadith Taweel Hai

Muslim Sharif, Jild - 2, Safa- 819

Nisaai Sharif, Jild - 2, Safa - 147

Baihaqi Sharif, Jild - 4, Safa -286

     

Ye Thi Milad Un-Nabi Manane Ki dalile Milad Un Nabi Ko Eid Kahena Kaisa?

Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lughvi Mana (dictionary meaning) Hai "Khushi"

✅Agar Koi Arabi Khushi (happy) Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega "Eid" Ise Samjhane K Liye Mai Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu, baaz badmazhab khwareez ye Aitraaz karte h Eid sirf 2 hi he Eid ul azha our Eid ul fitar, baqi kisi din ko Eid kahna nhi chahiye

Qalallahu ta'ala fi Al Quran Mazeed Furqan Hameed

Kaha Esa ibn E Mariyam Ne: Aye ALLAH Aye Hamare Rab Hum Par Aasman Se Ek Khuwan Utar Ke Wo (Khuwan Utarne Ka Din) Hamare Liye Eid Ho, Hamare Aglon Aur Pichlo Ki.
(Surah Maida Ayat 114)

Aap Arabi me Quran khol kar dekh lijiye is aayat me lafz Eid aaya he, our kaee Ahadith he jisme juma ke din ko bi Eid kahan gya hai,,

✅Is Ayat Se Maloom Hua Ke Jis din Allah Ki Khass Rahemat Nazil Ho Us Din Ko Eid Manana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai Tabhi To Hazrat Esa Ne Dua Mangi Aap Khud Faisla Kare Ke Jis Din Hazrat Esa alaiysalam Par Khuwan E Nemat Utry To Wo Un K Agly Aur Pichlon K Liye Eid Ho To Jis Din Sare Alam K Liye
Jahan K Liye Jo Zaat Rahemat Hai Un Ki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid Yani Khushi Kaise Na Ho?

Hazrat Allama Mulla Ali Qari Miskat Ki Shrah Me Imam raghim K Hawale Se Lafz E Eid Ki Wazahat Farmate Hue Likhte Hai Imam Raghib Ne Farmaya Ke Eid Ka Lugvi Aitebar Se Us Din Ko Kahete Hai Jo Bar Bar Laot Kar Aaye Aur Shariat Ki Istelat Me Eid Ul Fitar Aur Eid Ul Azha Ko Kahete Hai Aur Jab K Ye Shariat Me Khushi Manane K Liye Mukarrar Kiya Gaya Hai Jis Tarha Nabi Sallallaho alaiy wasallam Ne Apne Is farman me Tambih Ki hai Ke (Aitam E Mina Khane Pine Aur Azdwajiyat Ke Din Ha) Lihaza Eid Ka Lafz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hone Laga.
(Mirat Ul Mafateh, Kitabul Salat Bab Ul Juma)

Dekha Aap Hazrat Ne Ke Itne bade Imam Mulla Ali Qari Aur Imam Raghib Bi Yahi Farma rahe hai K Eid Ka Lafz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hota Raha Hai.

NABI e Mu’ajjam, Sarapa Judo karam swallallahu alaiy wasallam ne farmaya ki

"Juma’a ka din sab dino ka sardar hai, ALLAH ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik Eid ul Azha aur Eidul Fitr se bada hai. ALLAH ne isi me Hazrate ADAM alaiysalam ko paida kiya, Isi me Zameen par unhe utara Aur Isi me Unhe wafat di.
[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8, Hadith No.1084]

✅Is Hadees me Teen khaslate Hazrate Aadam alaihissalam ke liye bayan ki gai, jisme aap ki wafat ka bhi zikr hai, to pata chala ki ek nabi ki paidaesh, unka zameen par utarna, aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’amino ke liye ALLAH ne use Eid bana diya. Ki woh din
Eidul Azha aur Eid ul fitr se bhi afzal kar diya.

✅Tou hamare Sarkar e do Jahan jo ki tamam ambiya ke sardar hai, unki tashrif aavari par hum us din ko kyun Eid na kahe, balke hum tou use Eido ki Eid kahenge, ki unki tashrif aavri ki wajah se hi tou hume baki Eid mili aur har hafte me ek eid karke pure saal me 52 Eido (juma) ka tohfa mila woh isi rahmatalil aalamin ki tashrif aavari se mila hai. tou hum kyun us din khushi na kare?

Imam Qastallani Rahimullah farmate hain :
“Chahiye Eeman walo ki tum Milad-e-Mustafa Salllaho alaiy Wasallam ko Eid ke taur par manaya karo. Allah Apna Fazl aur Ehsan kare unn logo par jo Rabi ul   Awwal ki raato’n ko Eid ke taur par manate hain, kyun ki iss maheene ko Eid ke taur par manane se Unn Dilo’n par aur Unn logo par Ghazab utarta hai Jinke Dilo’n mein Bughz aur Munafikat ki Bimari hai.”
(Al Muwahib al Luduniya, Jild No. 1, Safa No.148)

              
Ye Thi Milad Un Nabi swallallahu alaiy Wasallam Ko Eid Kahene Ki Dalil Ab Aaye Dekhte Hai Milad Un Nabi Sallallaho alaiy wasallam K Mauke Par Kiye Jane Wale Mustahab Aamal Hadith Ki Roshni Me:


Juloos Nikalna Aur Usme Ya Rasool Allah Ke Nare lagana:


Jab Aaqa swallallahu alaiy Wasallam Hijrat Kar K MADINA Sharif Aaye To Logon Ney Khoob Jashan Manaya Nojawan Larkey Apni Chatton Par Charh Kar Aur Gulam, Khuddam Raasto Me Phirte They Aur Nara' Aey Risalat Lagate Aur Kehte YA RASOOLALLAH.
(Sahih Muslim Jild 2 Page 419)

Naat E pak padna:
Huzur swallahu alaihe wasallm Hazrat Hassan razi Allah anho k liye Masjid e Nabvi shareef me Mimbar rakhte our Hazrat Hassan RadiAllahu anh us par kharey ho kar Huzur Swallallaho alaihe Wasallm ki Shan E Aqdas me Naatiya ash'aar parhte the or
Huzur Swallallahu alaihe wasallm farmate:
jab tak Hassan mere baare me Naatiya our fakharia ashaar parhte Rahe Ge to beshak Allah taala Roohul Aqdas (Hazrat Jibrail alehsalam) k zarye Hassan ki madad farmata hai.
(Sunan Abu Dawood,
Kitab ul adab, baab ma jau fi'shaar , Jild 5 Page 176 Hadith No 5015)
(Sunan Tirmizi, kitab ul adab,baab ma jau fi inshad'shaar, Jild 3 Page 562, 561 Hadith No 2846)

Jhande Lagana:
Hazrate Amina farmati hai K Jab Mere Muhammad Salllaho alaiy Wasallam Ki Wiladat Hui Us waqt Hazrat Jibrail Alaiyhisalam Ne 3 Jhande Nasab Kiye Ek Magrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kabe Ki Chat par is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi Rahamatullah alaiy Ne Apni Kitab Madarijunnabuwa Jild 2 Me Naqal Kiya Hai.

Mehfil E Meelad:
Mafhum e hadis ;- Huzoor Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi Me Milaad Huyi Isme Huzoor swallallahu alaiy Wasallam Ne Apni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye.
(Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)

Roza rakhna:
Hazrat Abu Qatada RadiAllah Anhu Se Riwayat Hai
Rasool-E-Karim swallallahu alaiy Wasallam Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap Swallallahu alaiy Wasallam Ne Farmaya K Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua"

(Sahih muslim Jild
2 hadith no 819 .page 1162)
(nasai al sunane kubra Jild 2 hadith 146 page 2777)

www.imamahmedraza98.blogspot.com

No comments:

Post a Comment