Thursday 27 November 2014

Jhashn E Eid Milad un Nabi swallallahu alaiy wasallam

Jhashn e Eid Miladunnabi swallahu alaiy wasallam
Quran o Hadees ki Roshny me

Qalallahu ta'ala fi Al Quran Mazeed Furqan Hameed

“Tum Farmao ALLAH hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehmat Aur Usi Par Chahiye Ke Khushiya Kare (Surah Yunus Ayat 58)

✅Is Ayat Me Allah ajhwazal Ne Apne Fazal Aur Apni Rahmat Par Khushiya Manane Ka Hukum Diya hai

Pyare Islami bhaiyo Ham Quran me padhte he Allah ajhwazal ka khas Fazal our uski khas Rahmat kiya hai, our Allah Ka Sabse Bada  Ahsan our Sabse Badi Nemat Momino par kiya hai taqi ham uspar Khushiya Manaye ba hukm ta'ala

Qalallahu ta'ala fi Al Quran Mazeed Furqan Hameed

"Sikha dia hamny tumhe Our Allah ka tum par Bara fazal Hai" (Surah An-Nisa 113)

✅Is aayat me Allah ajhwazal ny Apne pyare Nabi Hazrat Muhammad swallallahu alaiy wasallam par Fazal hi nhi balqi "fadalillahi alaiyka Ajheem" bohat bada (Ajheem) fazal kaha he

Qalallahu ta'ala fi Al Quran Mazeed Furqan Hameed

"Or Humne Tumhe Na Bheja Magr Rahmat Sare Jahan K Liye" (Surah Ambiya Ayat 107)

✅Is Ayat Me Allah Apne Pyare Nabi swallallahu alaiy Wasallam Se Farma Raha Hai K Humne Tumhe Sirf 1 Ya 2 Aalam K Liye Nahi Balki Sare Aalam K Liye Rahamat Bana Kar Bheja Yaha Gour Kare Allah Ne Nabi Salllaho alaiy Wasallam Ko Rahmat Kaha hai Aur Jo Paheli Ayat Pesh Ki Gai Hai Usme Allah Ne Apni Rahmat Par Khushi karne Ka Hukum Diya Hai Jo In Ayato Ka Munkir Honga wo Nabi Sallallaho alaiy Wasallam Ko Apne Liye Allah Ki Rahamat Aur Nemat Nahi Samajta Wo Nabi E Pak Sallallaho alaiy Wasallam Ki Wiladat Ki Khushi Se Aitaraz Karega.

Qalallahu ta'ala fi Al Quran Mazeed Furqan Hameed

“Apne Rab Ki Nemato Ka Khoob Khoob Charcha Karo”
(Surah Duha Ayat 11)

✅Is Ayat Me Allah ajhwazal Ne Hume Apni Nemato Ka Charcha karne Ka Hukum Diya. Har Momin Ye Janta Hai Ki Allah ajhwazal Ki Subse Badi Aur Azeem Nemat Hamare Liye Uske Rasool Swallaho alaiy Wasallam Hai Is Baat Ko Samjhane K Liye Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu

Qalallahu ta'ala fi Al Quran Mazeed Furqan Hameed

“beshaq Allah ny ehshan kia Momino per, ki jab unme apne Rasool swallallahu alaiy Wa sallam ko bheja”
(Sureh Al-Imran, Ayat 164)

Mere Pyare Islami Bhaiyo Aap Sara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi Jagah Allah Azzawajal Ne Ye Nahi Kaha K Humne Tumhe Ye Nemat Dekar Tumpar Ahsan Kiya hai maslan hajj, ramzan, namaz, lekin Apne Maheboob Nabi Swalllaho alaiy Wasallam K liye kaha laqad beshaq "manallah alaiy al mominin ba'asa fihim rasullammin anfusihim" Isse Malum Hua K Allah Ki Subse Badi Nemat Hamare Liye Uske Nabi Swallallahu alaiy  Wasallam Hai. Our ye duniya or usmy Jo kuch Nemat he Baghat, Samandar, fal, kheti, pahar, chopaye, Allah ny sabko qaleel kaha hai ye duniya our jo kuch isme he sab qaleel hai, lekin Sayyadul mursaleen Imam ul ambiya Muhammad Rasul Allah swallallahu alaiy wasallam ko farmaya "wakana fadalillahi alaiyka Azheem" Aur Allah ka tumpar bara fazal hai" (Al Quran 4/13)

12 Rabi Ul Awwal

12 Rabi Ul Awwal Par Tamam Ulama E Islam Ka Ijma Hai K Is Din Muhammad Swalllaho alaiy Wasallam Sare Alam K liye Rahamat Bankar Duniya Me Tashreef Laye Aur Isi Din Sari Duniya Me Musalman Apne
Nabi Ki Wiladat Ka Jashan Karte Hai

Refrance:

1. Ibn-e-Ishaq ( 85- 151 H ): [Ibn Jawzi in al-Wafa, Page 87]

2 Allama Ibn Hisham ( 213 H ): [Ibn Hisham in As-Sirat-un-Nabawiya, Vol. 1, Page 158]

3. Imam Ibn Jarir Tabari
( 224- 310 H ): [Tarikh al-Umam wa al-Muluk, Vol. 2, Page 125]

4. Allama Abu al-Hasan Ali bin Muhammad Al-Mawardi ( 370- 480 H ): [Ailam-un-
Nabuwwa, Page 192]

5. Imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al-Undalasi ( 671- 734 H ): [Aayun al-Asr, Vol. 1, Page 33]

6. Allama Ibn Khaldun ( 732- 808 H ): [Ibn Khaldun in At-Tarikh Vol. 2, Page 394]

7. Muhammad As-Sadiq Ibrahim Arjoon: [Muhammad Rasoolullah, Vol. 1, Page
102]

8. Shaykh Abdul-Haq Muhadath Dehlvi ( 950- 1052 H ): [Madarij-un-Nabuwwah, Vol. 2, Page 14]

9. Imam Qustallani (Alaihir RaHma) [Al Muwahib
al Laduniya, Vol. 1, Page 88]

       

Milad Kis Kis Ne Manaya?

Huzoor Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi Me Milaad Huyi Isme Khud Huzoor swallallahu alaiy Wasallam Ne Apni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye.
(Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)

Hazrat Abu Qatada RadiAllah Anhu Se Riwayat Hai Rasool-E-Karim swallallahu alaiy Wasallam Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap Swallallahu alaiy Wasallam Ne Farmaya K Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua"

(Sahih muslim Jild
2 hadith no 819 .page 1162)
(nasai al sunane kubra Jild 2 hadith 146 page 2777)

"Jab Abu lahab mar gya to uske baj gharwalo mese usy khawab me bure hal me dekha| puhcha kya gujri? Bola tum se juda ho kar mujhe khair nasib na hui| haa mujhe is kalime ki ungali se pani milta he kyunki isy (is ke ishare se) mene suweba londi ko aajad kia jab usny mujhe apny bhatije (Muhammad) swallallahu alaiy wasallam ki paidaees ki khush khabri sunaee thi"
(Sahih Al bukhari
Kitab An-nikah
Vo: 1 page: 153)

✅is riwayat ke tahat Hazrat Sayyiduna Shaikh Abdul haq
muhaddise dehalvi alaiyrahma farmate he:

Suweba loundi ne Abu lahab ko Apne bhatije Hazrat Mohammad swallallahu alaiy wasallam ki wiladat paidaees ki khabar di Abu lahab ne khbar pa kar khush hua or khus hokar kalme ki ungali se apni loundi suweba ko aazad kardia. is wakiye me milad sharif Manany walo k liye badi dalil h jo Tajdare risalat sallallahu alaiy wasallam ki Shab E Wiladat me khushiya manate or maal kharch karte he| (Madarizun Nabuwwat, jild 2, safa, 23)

✅Jab ek kafir Abu lahab Nabi samaj kar nhi balki apna bhanja samaj kar khusiya manaye to Abu lahab ki ungali Jhahannam me nhi jale to jo Ashiq e Rasul pure badan se Eid Milad un Nabi sallallahu alaiy wasallam ki wiladat par khushiya manaye, jhande lagaye, us musalman ko kese jhahannam ki aag chuh sakti?

Nabi swallallahu alaiy wasallam Ne Apne Milad Par ' ALLAH ' Ka Shukra Bajaa Lane Ki Talkin Farmayi Aur Targeeb Di....!!
Iski Tafseel Yaha Check Kare Hadith Taweel Hai

Muslim Sharif, Jild - 2, Safa- 819

Nisaai Sharif, Jild - 2, Safa - 147

Baihaqi Sharif, Jild - 4, Safa -286

     

Ye Thi Milad Un-Nabi Manane Ki dalile Milad Un Nabi Ko Eid Kahena Kaisa?

Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lughvi Mana (dictionary meaning) Hai "Khushi"

✅Agar Koi Arabi Khushi (happy) Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega "Eid" Ise Samjhane K Liye Mai Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu, baaz badmazhab khwareez ye Aitraaz karte h Eid sirf 2 hi he Eid ul azha our Eid ul fitar, baqi kisi din ko Eid kahna nhi chahiye

Qalallahu ta'ala fi Al Quran Mazeed Furqan Hameed

Kaha Esa ibn E Mariyam Ne: Aye ALLAH Aye Hamare Rab Hum Par Aasman Se Ek Khuwan Utar Ke Wo (Khuwan Utarne Ka Din) Hamare Liye Eid Ho, Hamare Aglon Aur Pichlo Ki.
(Surah Maida Ayat 114)

Aap Arabi me Quran khol kar dekh lijiye is aayat me lafz Eid aaya he, our kaee Ahadith he jisme juma ke din ko bi Eid kahan gya hai,,

✅Is Ayat Se Maloom Hua Ke Jis din Allah Ki Khass Rahemat Nazil Ho Us Din Ko Eid Manana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai Tabhi To Hazrat Esa Ne Dua Mangi Aap Khud Faisla Kare Ke Jis Din Hazrat Esa alaiysalam Par Khuwan E Nemat Utry To Wo Un K Agly Aur Pichlon K Liye Eid Ho To Jis Din Sare Alam K Liye
Jahan K Liye Jo Zaat Rahemat Hai Un Ki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid Yani Khushi Kaise Na Ho?

Hazrat Allama Mulla Ali Qari Miskat Ki Shrah Me Imam raghim K Hawale Se Lafz E Eid Ki Wazahat Farmate Hue Likhte Hai Imam Raghib Ne Farmaya Ke Eid Ka Lugvi Aitebar Se Us Din Ko Kahete Hai Jo Bar Bar Laot Kar Aaye Aur Shariat Ki Istelat Me Eid Ul Fitar Aur Eid Ul Azha Ko Kahete Hai Aur Jab K Ye Shariat Me Khushi Manane K Liye Mukarrar Kiya Gaya Hai Jis Tarha Nabi Sallallaho alaiy wasallam Ne Apne Is farman me Tambih Ki hai Ke (Aitam E Mina Khane Pine Aur Azdwajiyat Ke Din Ha) Lihaza Eid Ka Lafz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hone Laga.
(Mirat Ul Mafateh, Kitabul Salat Bab Ul Juma)

Dekha Aap Hazrat Ne Ke Itne bade Imam Mulla Ali Qari Aur Imam Raghib Bi Yahi Farma rahe hai K Eid Ka Lafz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hota Raha Hai.

NABI e Mu’ajjam, Sarapa Judo karam swallallahu alaiy wasallam ne farmaya ki

"Juma’a ka din sab dino ka sardar hai, ALLAH ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik Eid ul Azha aur Eidul Fitr se bada hai. ALLAH ne isi me Hazrate ADAM alaiysalam ko paida kiya, Isi me Zameen par unhe utara Aur Isi me Unhe wafat di.
[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8, Hadith No.1084]

✅Is Hadees me Teen khaslate Hazrate Aadam alaihissalam ke liye bayan ki gai, jisme aap ki wafat ka bhi zikr hai, to pata chala ki ek nabi ki paidaesh, unka zameen par utarna, aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’amino ke liye ALLAH ne use Eid bana diya. Ki woh din
Eidul Azha aur Eid ul fitr se bhi afzal kar diya.

✅Tou hamare Sarkar e do Jahan jo ki tamam ambiya ke sardar hai, unki tashrif aavari par hum us din ko kyun Eid na kahe, balke hum tou use Eido ki Eid kahenge, ki unki tashrif aavri ki wajah se hi tou hume baki Eid mili aur har hafte me ek eid karke pure saal me 52 Eido (juma) ka tohfa mila woh isi rahmatalil aalamin ki tashrif aavari se mila hai. tou hum kyun us din khushi na kare?

Imam Qastallani Rahimullah farmate hain :
“Chahiye Eeman walo ki tum Milad-e-Mustafa Salllaho alaiy Wasallam ko Eid ke taur par manaya karo. Allah Apna Fazl aur Ehsan kare unn logo par jo Rabi ul   Awwal ki raato’n ko Eid ke taur par manate hain, kyun ki iss maheene ko Eid ke taur par manane se Unn Dilo’n par aur Unn logo par Ghazab utarta hai Jinke Dilo’n mein Bughz aur Munafikat ki Bimari hai.”
(Al Muwahib al Luduniya, Jild No. 1, Safa No.148)

              
Ye Thi Milad Un Nabi swallallahu alaiy Wasallam Ko Eid Kahene Ki Dalil Ab Aaye Dekhte Hai Milad Un Nabi Sallallaho alaiy wasallam K Mauke Par Kiye Jane Wale Mustahab Aamal Hadith Ki Roshni Me:


Juloos Nikalna Aur Usme Ya Rasool Allah Ke Nare lagana:


Jab Aaqa swallallahu alaiy Wasallam Hijrat Kar K MADINA Sharif Aaye To Logon Ney Khoob Jashan Manaya Nojawan Larkey Apni Chatton Par Charh Kar Aur Gulam, Khuddam Raasto Me Phirte They Aur Nara' Aey Risalat Lagate Aur Kehte YA RASOOLALLAH.
(Sahih Muslim Jild 2 Page 419)

Naat E pak padna:
Huzur swallahu alaihe wasallm Hazrat Hassan razi Allah anho k liye Masjid e Nabvi shareef me Mimbar rakhte our Hazrat Hassan RadiAllahu anh us par kharey ho kar Huzur Swallallaho alaihe Wasallm ki Shan E Aqdas me Naatiya ash'aar parhte the or
Huzur Swallallahu alaihe wasallm farmate:
jab tak Hassan mere baare me Naatiya our fakharia ashaar parhte Rahe Ge to beshak Allah taala Roohul Aqdas (Hazrat Jibrail alehsalam) k zarye Hassan ki madad farmata hai.
(Sunan Abu Dawood,
Kitab ul adab, baab ma jau fi'shaar , Jild 5 Page 176 Hadith No 5015)
(Sunan Tirmizi, kitab ul adab,baab ma jau fi inshad'shaar, Jild 3 Page 562, 561 Hadith No 2846)

Jhande Lagana:
Hazrate Amina farmati hai K Jab Mere Muhammad Salllaho alaiy Wasallam Ki Wiladat Hui Us waqt Hazrat Jibrail Alaiyhisalam Ne 3 Jhande Nasab Kiye Ek Magrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kabe Ki Chat par is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi Rahamatullah alaiy Ne Apni Kitab Madarijunnabuwa Jild 2 Me Naqal Kiya Hai.

Mehfil E Meelad:
Mafhum e hadis ;- Huzoor Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi Me Milaad Huyi Isme Huzoor swallallahu alaiy Wasallam Ne Apni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye.
(Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)

Roza rakhna:
Hazrat Abu Qatada RadiAllah Anhu Se Riwayat Hai
Rasool-E-Karim swallallahu alaiy Wasallam Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap Swallallahu alaiy Wasallam Ne Farmaya K Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua"

(Sahih muslim Jild
2 hadith no 819 .page 1162)
(nasai al sunane kubra Jild 2 hadith 146 page 2777)

www.imamahmedraza98.blogspot.com

Saturday 22 November 2014

Ajmate sahaba our tazeeme Ahle bait by sayyadi Alahazrat

jesa ki hume subko malum he ki mahfume hadis Aap swallallahu alaiy wasallam ny farmaya "meri ummat 73 firqo me taqsim hojayegi siwa ek hi jannat me jayegi woh jannati firqe ki pehchan yeh hogi wo me (huzur swallallahu alaiy wasallam) our mere sahaba radiAllahu anh ke aqaeed par honge" (tirmizi)
aaj hum dekh sakte he ki ummat me beshumar firqe hochuke sub apne ko haq par our dusaro ko galat bolrahe he yaha tak ki Hadees ka inkar karny wale Pegambar e Islam Hazrat Muhammad swallallahu alaiy wasallam ki shaane rahmatul lil aalmeen par gusthaki karne wale, aap ke ilm ko shaiytaan se kam sabit our janvaro our paglo se tasbih deny wale, aap ki pak daman azwatemuhtahara ki asmat pr khichar unchalny wale, khatimunnabeein ka ijmaee mana akhree Nabi hony ka inkar waly, jhute naboowat ka dawa krny wale, Aap ke Sahaba radiAllahu anh jinke Martabe o Makbuliat ko Allah Quran me yu farmata he: (Allah unse Razi woh Allah sy Razi) un Sahaba ki Pak Azmaato sy khelne wale, Ahle Bait Ath'har ki tajeem o toukeer ka inkar karne wale, Imam Husain radiallahu anh ko baghi kahny wale our yazid palid par rahmatullah alaiy padhne wale karbala ki Haq o Batil ke Jehad ko siyasat (political) Jung our hukumat takt o taj keliye ki jane wali Jung kahny wale, Allah ke auliya e kiram ki shaan me be adbi ke lafz bolny wale, Jehad ke Name par khun kharaba karny wale, begunaho ko marny wale ilm ki jagah bachcho ko kalam ki jagah gun o hathiyar dene wale makhluqe khuda ko pareshan karny wale Din ke Name par fitna o fasad katal ka bazar garam krny wale Aaj Apne ap ko musalman o momeen kahrahe he|
Jab jab ummat e mohammadi swallallahu alaiy wasallam par eshe fitne aaye mahfume hadis:- Allah ajhwazal ny ummat e khateemun Nabi par Mujaddid bheje (Abu dawood) jinhony Quran o hadis ki Roshny me Munafiqo badmazhab Gusthako our Ahlesunnat ke darmiyan farq  krdia, ahle iman sunni aqaid, our Nifaq o gusthakiya  biddato ka dud ka dud pani ka pani kar diya

eshy Aulia kamilin ko Mujaddid kahan jata he jo har sadi me paida hote Islam ke subse pahle Mujaddid Hadrat Umar bin Abdul Aziz radiallahu anh our abtak is sadi ke Mujaddid Imam e Ahalesunnat Mujaddide din o Millat Alahazrat Shaikh ul Islam wal muslmeen Imam Ahmed Raza khan Qadri Hanfi fazile Barailwi (rahmatullahi alaiy) he

Imam e Ahalesunnat Mujaddide din o Millat Alahazrat Imam Ahmed Raza fazile Barailwi (rahmatullahi alaiy) ki Naat e pak sallallahu alaiy wasallam ke Ash'aar kahin Quraan ki aayat ka tukra hota he ya kahi hadis sharif ka tukra hua karta he goya Hadaike Bakshis Qur'aan o Hadees ki tashreeh ho|
aaz ke is pur fitan mahol me Alahazrat Imam Ahmed Raza Fazile barailwi rahmatullah alaiy ki books tasnifat fatwe ko mua'tala karna our aham fi tarjumatil Qur'aan kanzul iman padhna, Tamhide Iman our Fatwa Ashamul harmain ko bi padhna ashad jaruri he
me aapke samany sirf Imam e Ahlesunnat Alahazrat Imam Ahmed Raza khan (rahmatullahi alaiy) ki naat o manqabat book "HADAEEKE BAKSHEES" ki Naat e maqbul swallallahu alaiy wasallam ka sirf ek ash'aar pesh karraha hun jo is pur fitan dour me jaha koi hub e ahle bait ki mohabbat me sahaba ki touheen karraha he maz'allah kafir kahraha he wahi dusari taraf hube sahaba me Ahle baite athahar ki tajeem o tokir sy inkar kia ja raha he esy mahol me aaye hum mujaddid e millat Alahazrat ka ek Ash'aar samat farmaye

AHLE SUNNAT KA HE BEDA PAAR, AS'HABE HUZUR
NAZM HE OUR NAW HE ITRAT RASOOL ALLAH KI

subhanAllah ajhwazal yaani hum Ahle sunnat wal jamat he iski sanad ye h ham sahaba sebi mohabbat karte our Ahle bait ki bi tazeem karte , Alahazrat ny is ash'aar me sahaba ko nazm (sitara) our itrat (aulad) RasulAllah ko (Naav) kaha aaye iski tashreeh hadis ki roshny me padhe hamary liye Ashabe huzur sitaro ki manind he our Ahle bait kashti e Nuh ki misl, isliye Ahlesunnat ka beda paar isliye ke As'sahabe Nazm(sitara) our Itraat(Ahale bait) Naav hai

As'sahaba radiallahu anh Nazm yani Sitara he
bohat hi maroof o mash'hoor hadis shane sahaba radiallahu anh me jiska mahfum yeh he
"MERE SAHABA SITARO KI MANIND HE JO INSE MOHABBAT KAREGA WOH HIDAYAT PAJAYEGA"

Ahale bait Naav he
Shane Ahale bait me bohat hi mashoor hadis shreef hai
"MERI AHALE BAIT NUH ALAIYSALAM KI KASTI KE MISAL HE JO BI USAME SAWAR HOGYA WOH RAH PAGYE BAKI HALAQ HOGYE"

aaj science ny bohat tarakki karli aaj sy barsho saal pahle jb (maps micloise) ke jariye nahi balki Raat ki tarikhi me woh Jahaz ya Naav ko sitaro ke ilm mutabik paar karte, woh is ilm ko jante konsi simt konsi saat me kis sharf me konsa sitara chamakta he Algaraz woh ilme sitara jante the kb kutub sitara chamakta kb konsa etc etc..

Jo usany likh dia Sanad he wo din me
Ahle kalam ki aabroo nukta Raza ka h

to dini wa yaqini sunni bhaiyo jiske paas hub e ahle bait he yani (Naav) our uske pas hubb e sahaba yani (ilme sitara) nahi to uski Naav shamundar me bhatak jayegi woh halak hojayega isliye shamundar ko paar karne keliye (ilme sitara) jaruri he jiske pas hubb e sahaba yani (ilme sitara) he our uske pas naav nhi to bi wo barbaad he Samundar ko par kese karega (Naav) ki jarurat hogi yani Ahle bait ki yhi pagegame Maslake (rasta) Alahazrat he

Maslake Alahazrat ka yahi pegam he na hume ajmate sahaba radillahu anh chourna he na hume tazeeme ahle bait ko chourna he our yahi sahih ahle sunnat ki pehchaan hai
ye misal h ispr amal kre quran me Allah ajh-wa-zal ny beshumar misale bayan ki, Allah our Rasul se mohabbat iman h our unke mukhalifin se dushmani rakhna ye bi iman he, har badmazhab badaqidah se nafrat karna yebi iman.
Ummat ka ijma h sahaba ka dushman Islam ka dushman he
Ahle bait ka dushman waldul haram he

Momino ko mushreeq kahny wale khwariz wahabi

kasam khuda ki wahabi wo khwariz h jisy Allah k Nabi swallallahu alaiy wasallam ny  dunia ki sabse badtareen makhluq kaha h ek nhi sihah satta ki bohat hadis h aap sahih bukhari , muslin , Abu dawood tirmizi etc.. me kitab fitan bab khwariz me padhlo  jinki khas alamat ye he mafhum

"ye kitabuAllah (Quran) ki traf logo ko bulayenge halanke din se unka koi talluq nhi hoga"
"Quran padhenge lekin Quran inke halaq k niche nhi utrega"
"namaz kasrat se padhenge jinko dekh kr tum apni namaz haqeer samjhonge"
"musalman ko qatal krenge kuffar ko chordenge"
"Bolny me achche honge qirdar bura hoga"

Wahabi wo baddtareen makhluq h jinhony ummat me inteshar paida kia our kuffar pr nazil ki hui aayat ko musalman pr chaspa kia, shirk o touheed k name pr bad aqeedah , ghustaqi, ko janam dia jisy lakho insan gumrah hue, Ek Sahih hadis khwariz k muttaliq

ﻭَ ﮐَﺎﻥَﺍﺑْﻦُ ﻋُﻤَﺮَ ﺭﺿﻲ ﺍﷲ ﻋﻨﻬﻤﺎ ﻳَﺮَﺍﻫُﻢْﺷِﺮَﺍﺭَ ﺧَﻠْﻖِ ﺍﷲِ، ﻭَ ﻗَﺎﻝَ : ﺇِﻧَّﻬُﻢ ﺍﻧْﻄَﻠَﻘُﻮﺍ ﺇِﻟَﯽ ﺁﻳَﺎﺕٍ ﻧَﺰَﻟَﺖْ ﻓِﻲ ﺍﻟْﮑُﻔَّﺎﺭِ ﻓَﺠَﻌَﻠُﻮْﻫَﺎ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﻤُﺆْﻣِﻨِﻴْن
"Ibn umar radiAllahu anh khwariz  ko Allah ki sab se badtareen makhluq samajhte kyunki inhony wo aayat jo kuffar k haq me nazil hui usy momino pr chaspa krte"

{Sahih al-bukhari kitab isttabat al martadin wa alma'andin,
bab: qatal al khwariz 6/2539}

{Sahih al-muslim
Kitab al  jakat
Bab: al khwariz shar al khalq 2/750}

Jiyarat e qubur hadis our Ahl Allah walon sy sabit h mazar qabr pr jana sunnat h isy farz ya wazib nhi samajhte, isy shirk kahna our qurani aayat ko jo kuffar k haq me nazil hui but our murtio pr unhe jiyarat e qubur pr itlaq krny wale jhahannam k kutte h khwariz.

Surah al baqra 2/26
"Isy (quran) se bohat log gumrah hongy"
Is aayat ki tashreeh me mufasseerin e kiram, mohaddisin e kiram, aur aulama ajham ny tafseer me likha h wo log h jo quran to qasrat se padhenge lekin qurani aayat k sahih mafhum o mana ko nhi samjhenge our galat aqeeda bnayenge jisy gumrah houjayenge

Jese khwarizo ny hazrat Ali radiAllahu anh pr shirk ka ilzam lagaya tha ek quran ki aayat k asal mafhum ko nhi samjha our galat aqeeda gad lia "Allah hi faisla krny wala he"
Inhony amir ul mominin hazrat Ali ko mushreeq kehdia mazAllah mazAllah is aayat ki wazah k hazrat Ali ny 2 aadmi k bich faisla kia tha in kharzio ny kaha quran me he Allah hi faisla krny wala h to tum q faisla krte ho?? To hazrat Ali ny ibne abbas ko in khwarzio k pass bheja our kaha jo tum aayat byan krte ho wo zaati h yani haqiqi faisla krny wala Allah hi h our unhony talaq k muttaliq ek aayat padhi mafhum "jab dono ki aapas me muafiqat nhi rahti to  ladki ki traf se kuch log bulau our ladke ki traf se bi our inme faisla kro"
Faisla krny ka hukm to Allah khud kehraha h lihaza jo ham faisla krte h wo Allah ki ata se our jo Allah kahraha h quran me to wo haqeeqi faisla krny wala he, lekin fir bi khwariz shirk shirk kahny se baaz nhi aaye siwa e chand log k

ye khawarzi ataee our zaati aayat ko nhi samajhte gumrahi bad aqeedagi failate h maslan moujuda dour k khwariz wahabi devbandi ahl hadis aqaida e ilm ghaib k muttaliq wo qurani aayat jisme Allah ny kaha "Allah hi ghaib janta h" isy bunyad bnakar kahte ghaib Allah hi janta h  isy Nabi k liye manna shirk h lekin ye kharzi samajhte nhi ye zaati aayat h jiska matlab Allah haqiqi aalim ul ghaib h hamesha se tha hamesha rahega our jo Nabi ko ilm ghaib h wo Allah ki ata se h
ataee aayat qurani Nabi k ilm ghaib pr,, surah hud me Allah farmata h "ye ghaib ki khbre h jo ham tumhari traf wahi krte h" surah jinn "Allah ghaib janny wala kisi ko nhi btata siwa apny pasandida rasulo k" Ahl sunnat zaati our ataee dono aayat ko manta h jabki khawariz sirf zaati aayat ko jisy bunyad bnakr bad aqeeda nikalta our gumrahi failata , our Nabi swallallahu alaiy wasallam ki be adabi ghustaqi krta hَ


Saturday 15 November 2014

Tazeem e Nabi par khade hona 1

Tazeeme Nabi sajde ke liye jisny  inkar kia wo hogya shaiytaan
Tazeeme Nabi pr khade hony ka eitraz kre wo kesà musalmaan

jab Allah ny farishto se farmaya خليفتہ ان جاعل فی الارض   "me zameen me apna khalifa banane wala hu" to farishto ny Allah ajh-wa-zal ki mukhalifat ki our kaha اتجعل فيهامن يفسد فيهاويسفك الدماء "kia eso ko khalifa banayenga jo zameen me fasad failaye our khu reziya kre" to Allah ny masoom farishto ko apni bargah se nikala nhi our nahi unhe saza di ke tum mere kaam ke muafiqat q nhi huwe bas ithana farmadia انی اعلم مالا تعلمون "jo me zanta hu wo tum nhi Jante" lekin aau jab hazrat Adam alaiy salam ka zism e mubaraq bnaya our usme ruh dali our unhe sab ashya k name sikhaye our unki peshani me Noore Muhammadi swallallahu alaiy wasallam rakha our farmaya للمليكة اسجدوادم د "farishto ko hukm dia ke adam ko sajda kro" to sabne hazrat adam alaiy salam ko tazeemi sajda kia siwa ek ke jsny inkar kia hazrat adam alaiy salam ki tazeem ka to Allah ajh-wa-zal ny apni bargah sy dhutkar dia us ko iblees our mardud kaha ,our farmaya ابی واستکبروکان من الکفرین "munkir hua our gurur kia our kafeer hogya" (al baqra34)
https://m.facebook.com/ghustaq.rasul.wazibul.qata

musalmaano! dekho Allah ajh-wa-zal ki qudrat me apni raaye ko tarjih dy to Allah unhey muaf karde our masoom farishto se ithna farmadiya jo me janta hu wo tum nhi, lekin jan Allah ajh-wa-zal ke Nabi ki tazeem ka inkar kre to bargahe Rabbul izzat me wo iblees (dhutkara hua) our kafeer hogya or uspar Allah ajh-wa-zal ka fatwa he uski kitab me ابی واستکبروکان من الکفرین "munkir hua our gurur kia our kafeer hogya" (al baqra34)

musalmano! kia shaiytaan ny touheed ka inkar kia ? kia wo Allah ko ek nhi manta ? kia wo Allah ki ibadat nhi karta ? ha karta our ithani ki mafhum he agar uske sajdo ko zameen par bichado to ruhe zameen ka ek hissa baqi nhi rahe uske sajde se ithane sajde kiye hazaro sal taq sirf ek ghustaqi ki  Nabi shan me k "me aag se hu our ye mitti se" me tujhe sajda krunga lekin hazrat Adam alaiysalam ki tazeem nhi , Allah ko jalal aagya our iski saari ibadate iske muh pr mardi our apni bargah se nikal dia dhutkar kar

musalmano! jis shaiytaan ny Nabi ki tazeem ke liye jhukny se inkaar kia our wo mardud hua bargahe ajh-wa-zal me aj usi ke sathi hamary Nabi swallallahu alaiy wasallam ki tazeem ke liye khade hony par eitraaz our shirk k fatwe musalman pr chaspa karrahe he, tazeem k liye khade hona hamary bujurg our salf swalehin ki sunnat he or khud pyare huzur swallallahu alaiy wasallam apni daeema hazrate halima sadia radiAllahu anha ko dekh kr aap khade hojate unki tazeem ke liye apni chadar ko bicha kr unko uspar bithate, ma baap our bujurg ki tazeem k liye khade hona jayaz hai our huzur sayyadul ins wa jinn swallallahu alaiy wasallam to hamari jaan hai hamara iman he

ﻗﺎﻝ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ
Huzur Nabi e Kareem swallallahu alaiy wasallam ny farmaya

َ " ﻓَﻮَﺍﻟَّﺬِﻱ ﻧَﻔْﺴِﻲ ﺑِﻴَﺪِﻩِ ﻻَﻳُﺆْﻣِﻦُ ﺃَﺣَﺪُﻛُﻢْ ﺣَﺘَّﻰ ﺃَﻛُﻮﻥَ ﺃَﺣَﺐَّ ﺇِﻟَﻴْﻪِﻣِﻦْ ﻭَﺍﻟِﺪِﻩِ ﻭَﻭَﻟَﺪِﻩ ﻭﺍﻟﻨﺎﺱ ﺃﺟﻤﻌﻴن"
"tum me koi musalmaan na hoga jab taq me uske ma baap oulaad our sab aadmiyo se jayda pyara na hojau"

Sahih al-Bukhari
kitab ul iman
Book 2 hadis 7

ye hadis sahih al-bukhari wa sahih al-muslim me Anas bin malik ansari  radiAllahu anhu se he. jo huzur aqdas swallallahu alaiy wasallam se jydah kisi ko aziz rakhe, har giz musalman nhi| huzur Muhammad swallallahu alaiy wasallam ko tamam jahan se jyadah mehbub rakhna madare iman wa madare nijat hai.

"Allah our uske farishte darud bhejte apne Nabi par to e iman walo tum bi apny Nabi par darood o salam bhejo (al-quran)

ﻋَﺴَﻰٰ ﺃَﻥ ﻳَﺒْﻌَﺜَﻚَ ﺭَﺑُّﻚَ ﻣَﻘَﺎﻣًﺎ ﻣَّﺤْﻤُﻮﺩًﺍ
"karib he ki tumhe tumhara rab esy jagah khada kre jaha sab tumhari tareef kre" (15,79)

mas'ala : Nabi swallallahu alaiy wasallam pr salato salam padhna our Naat tareef padhna jayaz he sahaba ki bi sunnat hai.  ma'ala : darood our salam beth kr padhny se ba nisbat khade hokar padhna afzal hai. mas'ala : jo hamary Nabi swallallahu alaiy wasallam ki tazeem k liye darud o salam par khada na ho to uspar hukme kufr ka fatwa nhi, mas'ala : lekin jo hamary Nabi ki Tazeem k liye darud o salam  par khady hony ka eitraaz kre wo badmazhab gumrah he our is wazah eitraaz kre ki khade hony par jyada adab o ehteraam he Nabi ka tazeem o toukeer hai is bina pr hasad kre ya tazeeme Nabi ka inkaar kre to wo kafeer hai be adab wa ghustaq he musalman ko ussy dosti rishta rakhna haram hai salam o kalam bi nakre, our esy logo ko momino ki masjid me na aany de. mas'ala : mehfil me jaha musalmaan badi tadat me ho ya zuma our fazar ki namaz ke baad khade hokar darud our fir salam padhe ba adab khulus our mohabbat se.   mas'ala : musalmaano darud padhna wazib hai rojana apne pyare Nabi pr darood padho k mafhum hadees "Jo mujh par darood padhny bhul gya wo jannat ka rasta bhulgya" 

Aj jo kalma go (munafiq) Nabi swallallahu alaiy wasallam ki shan me badgoeeya karny wale aap swallallahu alaiy wasallam ke ilm , our fadaeel our , tazeem o toukeer par tankid karte, aap ke mu'a mubaraq par eitraaz karny wale bad bakhto , ameer ul mominin hazrat Ali radiAllahu anhu raavi he sayyadul anam huzur Muhammad swallallahu alaiy wasallam ny apne dast mubaraq me mu'a mubaraq lekar farmaya "jisny mere baal shreef ki bi touheen ki wo musalmaan nhi he yani (kafeer hogya)"

https://m.facebook.com/ghustaq.rasul.wazibul.qata

Tuesday 11 November 2014

Hamary Nabi Noor ul bashar hai

Hamary Nabi swallallahu alaiy wasallam ko Noor kahna jayaz balqi En Iman h Quran o hadis se Muhammad Rasul Allah swallallahu alaiy wasallam ka Noor ul bashar hona sabit hai

ﻗَﺪْ ﺟَﺎﺀَﻛُﻢ ﻣِّﻦَ ﺍﻟﻠَّـﻪِ ﻧُﻮﺭٌ  ﻭَﻛِﺘَﺎﺏٌ ﻣُّﺒِﻴﻦ
Beshaq tumhare pas Allah ki traf se ek Noor (Muhammad) tashrif laye our Roshan kitab (Quran)
[Surah maida 15]

Hazrat Abdullah bin Abbas RadiAllahu anhu is aayat ki tafseer farmate

قد جاء كم من الله نور يعنی محمد صلی الله علیہ وسلم
Is aayat me Noor se murad muhammad swallallahu alaiy wasallam ki jaat muqaddas hai
[Tafseere ibne Abbas safa-72]

Tamam mufassirin e kiram , mohaddisin e kiram, aulama e ajham muttafiq he is aayat me lafz Noor se murad Muhammad RasulAllah swallallahu alaiy wasallam
1.Tafseere qabir jild 3 safa 395
2. Tafseere Ruhul bayan jild 8 safa 370
3. Tafseere Ruhul ma'ani jild 6 safa 97
4. Tafseere khazeen jild 1 safa 447
5. Tafseere mazhari jild 3 safa 67
6: Tafseere jalalain safa 976

Adam Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Nooh Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Ibrahim Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Ismail Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Yusuf Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Moosa Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Isaa Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Aey Gunahgaro, Qurban Jao Apni Kismat Par K Humhare Rab Ne Hum Jaise Gunahgaro Ko Ye Kehne Ka Sharf Bakhsha

NOOR WALA AAYA HAI

NOOR LEKAR AAYA HAI

SAARE AALAM ME YE DEKHO

KAISA NOOR CHAHAYA HAI

Assalato Wassalamo Alayka Ya RasoolAllah

Assalato Wassalamo Alayka Ya NabiAllah

Assalato Wassalamo Alayka Ya NoorAllah

  Swallallahu Alaihi Wasallam


Ya RasulAllah kahna Sahaba ki Sunnat he

Ya RasulAllah kahna sahih bukhari ki Roshny me

Devbandio ny ek our naya shirk ejad kia hai  harf ya sirf Allah k liye baqi k liye shirk o biddat ,,, aap sahih Bukhari ya kisi bi hadis ki aap book padhle sahaba ny hamesha lafz ya ki nida ki bargahe RasulAllah me aapke samny Arabi me lafz ba lafz sahih hadis pesh krraha hu

ﻗَﺎﻝَ ﺳَﻤِﻌْﺖُ ﺭَﺳُﻮﻝَ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻳَﻘُﻮﻝُ " ﻣَﻦْ ﺃَﻧْﻔَﻖَ ﺯَﻭْﺟَﻴْﻦِ ﻣِﻦْ ﺷَﻰْﺀٍ ﻣِﻦَ ﺍﻷَﺷْﻴَﺎﺀِ ﻓِﻲ ﺳَﺒِﻴﻞِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺩُﻋِﻲَ ﻣِﻦْ ﺃَﺑْﻮَﺍﺏِ ـ ﻳَﻌْﻨِﻲ ﺍﻟْﺠَﻨَّﺔَ ـ ﻳَﺎ ﻋَﺒْﺪَ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﻫَﺬَﺍ ﺧَﻴْﺮٌ، ﻓَﻤَﻦْ ﻛَﺎﻥَ ﻣِﻦْ ﺃَﻫْﻞِ ﺍﻟﺼَّﻼَﺓِ ﺩُﻋِﻲَ ﻣِﻦْ ﺑﺎﺏ ﺍﻟﺼَّﻼَﺓِ، ﻭَﻣَﻦْ ﻛَﺎﻥَ ﻣِﻦْ ﺃَﻫْﻞِ ﺍﻟْﺠِﻬَﺎﺩِ ﺩُﻋِﻲَ ﻣِﻦْ ﺑﺎﺏ ﺍﻟْﺠِﻬَﺎﺩِ، ﻭَﻣَﻦْ ﻛَﺎﻥَ ﻣِﻦْ ﺃَﻫْﻞِ ﺍﻟﺼَّﺪَﻗَﺔِ ﺩُﻋِﻲَ ﻣِﻦْ ﺑﺎﺏ ﺍﻟﺼَّﺪَﻗَﺔِ، ﻭَﻣَﻦْ ﻛَﺎﻥَ ﻣِﻦْ ﺃَﻫْﻞِ ﺍﻟﺼِّﻴَﺎﻡِ ﺩُﻋِﻲَ ﻣِﻦْ ﺑﺎﺏ ﺍﻟﺼِّﻴَﺎﻡِ، ﻭَﺑَﺎﺏِ ﺍﻟﺮَّﻳَّﺎﻥِ ." ﻓَﻘَﺎﻝَ ﺃَﺑُﻮ ﺑَﻜْﺮٍ ﻣَﺎ ﻋَﻠَﻰ ﻫَﺬَﺍ ﺍﻟَّﺬِﻱ ﻳُﺪْﻋَﻰ ﻣِﻦْ ﺗِﻠْﻚَ ﺍﻷَﺑْﻮَﺍﺏِ ﻣِﻦْ ﺿَﺮُﻭﺭَﺓٍ، ﻭَﻗَﺎﻝَ ﻫَﻞْ ﻳُﺪْﻋَﻰ ﻣِﻨْﻬَﺎ ﻛُﻠِّﻬَﺎ ﺃَﺣَﺪٌ ﻳَﺎ ﺭَﺳُﻮﻝَ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﻗَﺎﻝَ " ﻧَﻌَﻢْ، ﻭَﺃَﺭْﺟُﻮ ﺃَﻥْ ﺗَﻜُﻮﻥَ ﻣِﻨْﻬُﻢْ ﻳَﺎ ﺃَﺑَﺎ ﺑَﻜْﺮٍ ."
Reference
: Sahih al-Bukhari 3666
Kitab ul fadaeel sahaba
: Book 62, Hadith 18

is hadis me ya ki Nida se Abu bakr radiAllahu anhu pukar rahe bargahe RasulAllah me
ﻓَﻘَﺎﻝَ ﺃَﺑُﻮ ﺑَﻜْﺮٍ ﻣَﺎ ﻋَﻠَﻰ ﻫَﺬَﺍ
ﺍﻟَّﺬِﻱ ﻳُﺪْﻋَﻰ ﻣِﻦْ ﺗِﻠْﻚَ ﺍﻷَﺑْﻮَﺍﺏِ ﻣِﻦْ
ﺿَﺮُﻭﺭَﺓٍ، ﻭَﻗَﺎﻝَ ﻫَﻞْ ﻳُﺪْﻋَﻰ ﻣِﻨْﻬَﺎ ﻛُﻠِّﻬَﺎ ﺃَﺣَﺪٌ ﻳَﺎ ﺭَﺳُﻮﻝَ ﺍﻟﻠَّﻪ
farmaya abu bakr radiAllahu anhu ny jo in sab darwaze se jayega unhe kisi trah ka khouf nhi hoga kaha kia koi in darwaze sebi jayega ya RasulAllah
ﻗَﺎﻝَ " ﻧَﻌَﻢْ، ﻭَﺃَﺭْﺟُﻮ ﺃَﻥْ ﺗَﻜُﻮﻥَ ﻣِﻨْﻬُﻢْ ﻳَﺎ ﺃَﺑَﺎ ﺑَﻜْر
farmaya haa ,  tum bi inhi darwaze se jaaunge e Abu bakr
ya RasulAllah pukarna Sayyedna abu bakr siddiq radiAllahu our sahaba ki sunnat hai,
ye wahabi najdi khwariz hamesha shirk ki aar me , Allah ajhwazal ke Habib swallallahu alaiy wasallam ki tazeem o toukeer pr nishana sadhte esy hile apnate jise aam log gumrah bi hojaye our inki ghustaqi our asal (virus) khwariz najd ka pta bi nhi chale in khwariz jhahannam k kuto ka maqsad musalmaano k dilo se tazeem e Nabi swallallahu alaiy wasallam nikalna taqe bad aqida waswaso me mubtla hojaye, ghustaq najdi jante he sunni musalmaan apni jaan o mal apne ma bap se jayda Nabi swallallahu alaiy wasallam se mohabbat rakhta he in dev k bandio khwarizo ki jaltiye isliye inko  har tazeem e Nabi shirk biddat Lagti

Shirk- to wo h Jo Allah ajh-wa-zal ke siva kisi ki ibadat kre ya ibadat k layaq samjhe, iski zaat o sifat me kisi ko zaati tour pr shareeq krna shirk he naki ya lafz gerullah me use krna

Biddat- usy kahte Jo Nabi swallallahu alaiy wasallam k jhaheeri dour k baad din me esa amal nikalna jo sunnat ko mitade our shariat k khilaf ho jisme wahabi khwariz ahl hadas salfi najdi ek number h

our apny gumrah mullo ki na jayaz shan ko buland krny k lie had se bad jaye,, unke bre me haq bi sunna psand nhi krte bas unhi k gun gana unhi k nare lagana aulama e haq devrand devgand mazAllah inko haq pr pukarna Jo mara bi to sandas me jisny Nabi k ilm ko janwro pagalo ki likha , our ek mulla nanotwee khatimunnabin ka mana akhri Nabi ka inkar krke murtad hua our ek Nabi k ilm ko shaiytaan sebi kam sabit kia algaraz ye gumrah murtad munafiq jinpr hukme kufr ka fatwa dia aulama e hasamul harmain ny our ye munafiq ghustaqi se baaz nhi aaye our nahi touba ki balqi aj bi wo ibarat kitab chaap rahe our kuch shakt ibarate apny mullo ki badlami k bas tehhrif ki, our hamesha kufria tehreero pr devbandio k muataqidin taweelo gadte aaye bazaye touba o tajdeede iman k
Deovgandi in gumrah our murtado k Nare lagate ham Allah ke Nabi ka Name lete h ta qayamat taq Nara lagate rahenge ashiq e mustafa

Naare Risalat
ya RasullAllah swallalahu alaiy wasallam ِ

Naare Risalat
ya RasullAllah swallalahu alaiy wasallam ِ

Naare Risalat
ya RasullAllah swallalahu alaiy wasallam ِ

Naare Risalat
ya RasullAllah swallalahu alaiy wasallam ِ

Naare Risalat
ya RasullAllah swallalahu alaiy wasallam ِ