Tuesday 11 November 2014

Hamary Nabi Noor ul bashar hai

Hamary Nabi swallallahu alaiy wasallam ko Noor kahna jayaz balqi En Iman h Quran o hadis se Muhammad Rasul Allah swallallahu alaiy wasallam ka Noor ul bashar hona sabit hai

ﻗَﺪْ ﺟَﺎﺀَﻛُﻢ ﻣِّﻦَ ﺍﻟﻠَّـﻪِ ﻧُﻮﺭٌ  ﻭَﻛِﺘَﺎﺏٌ ﻣُّﺒِﻴﻦ
Beshaq tumhare pas Allah ki traf se ek Noor (Muhammad) tashrif laye our Roshan kitab (Quran)
[Surah maida 15]

Hazrat Abdullah bin Abbas RadiAllahu anhu is aayat ki tafseer farmate

قد جاء كم من الله نور يعنی محمد صلی الله علیہ وسلم
Is aayat me Noor se murad muhammad swallallahu alaiy wasallam ki jaat muqaddas hai
[Tafseere ibne Abbas safa-72]

Tamam mufassirin e kiram , mohaddisin e kiram, aulama e ajham muttafiq he is aayat me lafz Noor se murad Muhammad RasulAllah swallallahu alaiy wasallam
1.Tafseere qabir jild 3 safa 395
2. Tafseere Ruhul bayan jild 8 safa 370
3. Tafseere Ruhul ma'ani jild 6 safa 97
4. Tafseere khazeen jild 1 safa 447
5. Tafseere mazhari jild 3 safa 67
6: Tafseere jalalain safa 976

Adam Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Nooh Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Ibrahim Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Ismail Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Yusuf Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Moosa Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Isaa Alaihi Salaam Ne Kaha Wo Aane Wale Hain

Aey Gunahgaro, Qurban Jao Apni Kismat Par K Humhare Rab Ne Hum Jaise Gunahgaro Ko Ye Kehne Ka Sharf Bakhsha

NOOR WALA AAYA HAI

NOOR LEKAR AAYA HAI

SAARE AALAM ME YE DEKHO

KAISA NOOR CHAHAYA HAI

Assalato Wassalamo Alayka Ya RasoolAllah

Assalato Wassalamo Alayka Ya NabiAllah

Assalato Wassalamo Alayka Ya NoorAllah

  Swallallahu Alaihi Wasallam


No comments:

Post a Comment