Saturday 15 November 2014

Tazeem e Nabi par khade hona 1

Tazeeme Nabi sajde ke liye jisny  inkar kia wo hogya shaiytaan
Tazeeme Nabi pr khade hony ka eitraz kre wo kesà musalmaan

jab Allah ny farishto se farmaya خليفتہ ان جاعل فی الارض   "me zameen me apna khalifa banane wala hu" to farishto ny Allah ajh-wa-zal ki mukhalifat ki our kaha اتجعل فيهامن يفسد فيهاويسفك الدماء "kia eso ko khalifa banayenga jo zameen me fasad failaye our khu reziya kre" to Allah ny masoom farishto ko apni bargah se nikala nhi our nahi unhe saza di ke tum mere kaam ke muafiqat q nhi huwe bas ithana farmadia انی اعلم مالا تعلمون "jo me zanta hu wo tum nhi Jante" lekin aau jab hazrat Adam alaiy salam ka zism e mubaraq bnaya our usme ruh dali our unhe sab ashya k name sikhaye our unki peshani me Noore Muhammadi swallallahu alaiy wasallam rakha our farmaya للمليكة اسجدوادم د "farishto ko hukm dia ke adam ko sajda kro" to sabne hazrat adam alaiy salam ko tazeemi sajda kia siwa ek ke jsny inkar kia hazrat adam alaiy salam ki tazeem ka to Allah ajh-wa-zal ny apni bargah sy dhutkar dia us ko iblees our mardud kaha ,our farmaya ابی واستکبروکان من الکفرین "munkir hua our gurur kia our kafeer hogya" (al baqra34)
https://m.facebook.com/ghustaq.rasul.wazibul.qata

musalmaano! dekho Allah ajh-wa-zal ki qudrat me apni raaye ko tarjih dy to Allah unhey muaf karde our masoom farishto se ithna farmadiya jo me janta hu wo tum nhi, lekin jan Allah ajh-wa-zal ke Nabi ki tazeem ka inkar kre to bargahe Rabbul izzat me wo iblees (dhutkara hua) our kafeer hogya or uspar Allah ajh-wa-zal ka fatwa he uski kitab me ابی واستکبروکان من الکفرین "munkir hua our gurur kia our kafeer hogya" (al baqra34)

musalmano! kia shaiytaan ny touheed ka inkar kia ? kia wo Allah ko ek nhi manta ? kia wo Allah ki ibadat nhi karta ? ha karta our ithani ki mafhum he agar uske sajdo ko zameen par bichado to ruhe zameen ka ek hissa baqi nhi rahe uske sajde se ithane sajde kiye hazaro sal taq sirf ek ghustaqi ki  Nabi shan me k "me aag se hu our ye mitti se" me tujhe sajda krunga lekin hazrat Adam alaiysalam ki tazeem nhi , Allah ko jalal aagya our iski saari ibadate iske muh pr mardi our apni bargah se nikal dia dhutkar kar

musalmano! jis shaiytaan ny Nabi ki tazeem ke liye jhukny se inkaar kia our wo mardud hua bargahe ajh-wa-zal me aj usi ke sathi hamary Nabi swallallahu alaiy wasallam ki tazeem ke liye khade hony par eitraaz our shirk k fatwe musalman pr chaspa karrahe he, tazeem k liye khade hona hamary bujurg our salf swalehin ki sunnat he or khud pyare huzur swallallahu alaiy wasallam apni daeema hazrate halima sadia radiAllahu anha ko dekh kr aap khade hojate unki tazeem ke liye apni chadar ko bicha kr unko uspar bithate, ma baap our bujurg ki tazeem k liye khade hona jayaz hai our huzur sayyadul ins wa jinn swallallahu alaiy wasallam to hamari jaan hai hamara iman he

ﻗﺎﻝ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ
Huzur Nabi e Kareem swallallahu alaiy wasallam ny farmaya

َ " ﻓَﻮَﺍﻟَّﺬِﻱ ﻧَﻔْﺴِﻲ ﺑِﻴَﺪِﻩِ ﻻَﻳُﺆْﻣِﻦُ ﺃَﺣَﺪُﻛُﻢْ ﺣَﺘَّﻰ ﺃَﻛُﻮﻥَ ﺃَﺣَﺐَّ ﺇِﻟَﻴْﻪِﻣِﻦْ ﻭَﺍﻟِﺪِﻩِ ﻭَﻭَﻟَﺪِﻩ ﻭﺍﻟﻨﺎﺱ ﺃﺟﻤﻌﻴن"
"tum me koi musalmaan na hoga jab taq me uske ma baap oulaad our sab aadmiyo se jayda pyara na hojau"

Sahih al-Bukhari
kitab ul iman
Book 2 hadis 7

ye hadis sahih al-bukhari wa sahih al-muslim me Anas bin malik ansari  radiAllahu anhu se he. jo huzur aqdas swallallahu alaiy wasallam se jydah kisi ko aziz rakhe, har giz musalman nhi| huzur Muhammad swallallahu alaiy wasallam ko tamam jahan se jyadah mehbub rakhna madare iman wa madare nijat hai.

"Allah our uske farishte darud bhejte apne Nabi par to e iman walo tum bi apny Nabi par darood o salam bhejo (al-quran)

ﻋَﺴَﻰٰ ﺃَﻥ ﻳَﺒْﻌَﺜَﻚَ ﺭَﺑُّﻚَ ﻣَﻘَﺎﻣًﺎ ﻣَّﺤْﻤُﻮﺩًﺍ
"karib he ki tumhe tumhara rab esy jagah khada kre jaha sab tumhari tareef kre" (15,79)

mas'ala : Nabi swallallahu alaiy wasallam pr salato salam padhna our Naat tareef padhna jayaz he sahaba ki bi sunnat hai.  ma'ala : darood our salam beth kr padhny se ba nisbat khade hokar padhna afzal hai. mas'ala : jo hamary Nabi swallallahu alaiy wasallam ki tazeem k liye darud o salam par khada na ho to uspar hukme kufr ka fatwa nhi, mas'ala : lekin jo hamary Nabi ki Tazeem k liye darud o salam  par khady hony ka eitraaz kre wo badmazhab gumrah he our is wazah eitraaz kre ki khade hony par jyada adab o ehteraam he Nabi ka tazeem o toukeer hai is bina pr hasad kre ya tazeeme Nabi ka inkaar kre to wo kafeer hai be adab wa ghustaq he musalman ko ussy dosti rishta rakhna haram hai salam o kalam bi nakre, our esy logo ko momino ki masjid me na aany de. mas'ala : mehfil me jaha musalmaan badi tadat me ho ya zuma our fazar ki namaz ke baad khade hokar darud our fir salam padhe ba adab khulus our mohabbat se.   mas'ala : musalmaano darud padhna wazib hai rojana apne pyare Nabi pr darood padho k mafhum hadees "Jo mujh par darood padhny bhul gya wo jannat ka rasta bhulgya" 

Aj jo kalma go (munafiq) Nabi swallallahu alaiy wasallam ki shan me badgoeeya karny wale aap swallallahu alaiy wasallam ke ilm , our fadaeel our , tazeem o toukeer par tankid karte, aap ke mu'a mubaraq par eitraaz karny wale bad bakhto , ameer ul mominin hazrat Ali radiAllahu anhu raavi he sayyadul anam huzur Muhammad swallallahu alaiy wasallam ny apne dast mubaraq me mu'a mubaraq lekar farmaya "jisny mere baal shreef ki bi touheen ki wo musalmaan nhi he yani (kafeer hogya)"

https://m.facebook.com/ghustaq.rasul.wazibul.qata

No comments:

Post a Comment